lun kis se apna kaam abhi zer-e-ghaur hai
luuñ kis se apnā kaam abhī zer-e-ġhaur hai
kis ko karūñ salām abhī zer-e-ġhaur hai
sunnī hai ek ek vahābī hai kaun ho
masjid kā pesh-imām abhī zer-e-ġhaur hai
shādī karā ke yāroñ ne barbād kar diyā
luuñ kis se intiqām abhī zer-e-ġhaur hai
baḳhshā gayā maqām har ik chiiz ko magar
urdu hī kā maqām abhī zer-e-ġhaur hai
ghar mere saat bachchoñ ke saath aa ga.ī haiñ saas
kab tak rahe qiyām abhī zer-e-ġhaur hai
netā bhī shaiḳh jī bhī suḳhanvar bhī aa ga.e
ho kis kā ehtirām abhī zer-e-ġhaur hai
shā'ir hamāre desh ke kāñdhoñ pe bojh haiñ
kyā leñ ham in se kaam abhī zer-e-ġhaur hai
aa.e haiñ bāda-ḳhāne meñ kuchh maulvī bhī aaj
vo bhī uThā.eñ jaam abhī zer-e-ġhaur hai
bhejī hai mere vāste ustād ne ġhazal
kyā duuñ maiñ is kā daam abhī zer-e-ġhaur hai
āzādī-e-ḳhayāl ne shā'ir ko jail dī
'jauhar' tumhārā naam abhī zer-e-ġhaur hai
lun kis se apna kaam abhi zer-e-ghaur hai
kis ko karun salam abhi zer-e-ghaur hai
sunni hai ek ek wahabi hai kaun ho
masjid ka pesh-imam abhi zer-e-ghaur hai
shadi kara ke yaron ne barbaad kar diya
lun kis se intiqam abhi zer-e-ghaur hai
baKHsha gaya maqam har ek chiz ko magar
urdu hi ka maqam abhi zer-e-ghaur hai
ghar mere sat bachchon ke sath aa gai hain sas
kab tak rahe qiyam abhi zer-e-ghaur hai
neta bhi shaiKH ji bhi suKHanwar bhi aa gae
ho kis ka ehtiram abhi zer-e-ghaur hai
sha'ir hamare desh ke kandhon pe bojh hain
kya len hum in se kaam abhi zer-e-ghaur hai
aae hain baada-KHane mein kuchh maulwi bhi aaj
wo bhi uThaen jam abhi zer-e-ghaur hai
bheji hai mere waste ustad ne ghazal
kya dun main is ka dam abhi zer-e-ghaur hai
aazadi-e-KHayal ne sha'ir ko jail di
'jauhar' tumhaara nam abhi zer-e-ghaur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.