mera har sher hai mashhur misalon ki tarah
merā har she'r hai mash.hūr misāloñ kī tarah
maiñ to har shahr meñ phailā huuñ ujāloñ kī tarah
jūtiyāñ khā ke bhī har naaz uThāyā maiñ ne
maiñ ne chāhā hai unheñ chāhne vāloñ kī tarah
kyā kahūñ chaltī hai kaise mirī biivī kī zabāñ
din meñ qaiñchī kī tarah raat meñ bhāloñ kī tarah
apnā ghar likh jo diyā shaiḳh ne do beToñ ko
ik chanā baT gayā do hissoñ meñ dāloñ kī tarah
log is daur kī ġhazloñ ko bhalā kyā samjheñ
har ġhazal uljhī hai uljhe hue bāloñ kī tarah
tez chalne se lachak jā.egī kah do yaaro
un kī nāzuk hai kamar phuul kī Dāloñ kī tarah
kabhī līmūñ kī tarah tursh adā.eñ un kī
chaTpaTī tez kabhī garm-masāloñ kī tarah
gāliyāñ jitnī bhī ījād huī haiñ ab tak
un ko azbar haiñ muhaqqiq ke havāloñ kī tarah
boot aur suit sar-e-bazm lañgoTī ghar meñ
kabhī goroñ kī tarah haiñ kabhī kāloñ kī tarah
qaid meñ Daal diyā us ko emergency ne
pahle bad-amnī thī shahroñ meñ chhināloñ kī tarah
muñh pe kālak kā hai ġhāza to gadhe par haiñ savār
haajī mastān chale jail jiyāloñ kī tarah
mera har she'r hai mashhur misalon ki tarah
main to har shahr mein phaila hun ujalon ki tarah
jutiyan kha ke bhi har naz uThaya main ne
main ne chaha hai unhen chahne walon ki tarah
kya kahun chalti hai kaise meri biwi ki zaban
din mein qainchi ki tarah raat mein bhaalon ki tarah
apna ghar likh jo diya shaiKH ne do beTon ko
ek chana baT gaya do hisson mein dalon ki tarah
log is daur ki ghazlon ko bhala kya samjhen
har ghazal uljhi hai uljhe hue baalon ki tarah
tez chalne se lachak jaegi kah do yaro
un ki nazuk hai kamar phul ki Dalon ki tarah
kabhi limun ki tarah tursh adaen un ki
chaTpaTi tez kabhi garm-masalon ki tarah
galiyan jitni bhi ijad hui hain ab tak
un ko azbar hain muhaqqiq ke hawalon ki tarah
boot aur suit sar-e-bazm langoTi ghar mein
kabhi goron ki tarah hain kabhi kalon ki tarah
qaid mein Dal diya us ko emergency ne
pahle bad-amni thi shahron mein chhinalon ki tarah
munh pe kalak ka hai ghaza to gadhe par hain sawar
haji mastan chale jail jiyalon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.