paude
nazar ko lubhāte haiñ paudoñ ke manzar
hasīñ aur nāzuk haiñ phūloñ ke paikar
samar un ke bante haiñ sab kī ġhizā.eñ
ye bante haiñ bīmāriyoñ kī davā.eñ
hameñ miltī hai paudoñ se oxigen
ugaao inheñ dosto āñgan āñgan
har ik paudā ḳhārij kare aabī zarre
tanaffus meñ ye carbon jazb kar le
hasīn aur dilkash hai paudoñ kī duniyā
karo roz bachcho tum in kā nazāra
inhīñ se hai qariyoñ meñ logoñ ko rāhat
ki paudoñ se shahroñ kī baḌhtī hai zīnat
ye baat aaj 'hāfiz' kī ai bachcho maano
ki maktab ke āñgan meñ paude ugaao
nazar ko lubhate hain paudon ke manzar
hasin aur nazuk hain phulon ke paikar
samar un ke bante hain sab ki ghizaen
ye bante hain bimariyon ki dawaen
hamein milti hai paudon se oxigen
ugao inhen dosto aangan aangan
har ek pauda KHarij kare aabi zarre
tanaffus mein ye carbon jazb kar le
hasin aur dilkash hai paudon ki duniya
karo roz bachcho tum in ka nazara
inhin se hai qariyon mein logon ko rahat
ki paudon se shahron ki baDhti hai zinat
ye baat aaj 'hafiz' ki ai bachcho mano
ki maktab ke aangan mein paude ugao
- Book : Zamzame (Pg. 156)
- Author : Amjad Hussain Hafiz Karnatki
- Publication : Fareed Book Depot (Pvt. Ltd) (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.