holi
miyāñ tū ham se na rakh kuchh ġhubār holī meñ
ki rūThe milte haiñ aapas meñ yaar holī meñ
machī hai rañg kī kaisī bahār holī meñ
huā hai zor-e-chaman āshkār holī meñ
ajab ye hind kī dekhī bahār holī meñ
ab is mahīne meñ pahuñchī hai yaañ talak ye chaal
falak kā jaama pahan surḳhī-e-shafaq se laal
banā ke chāñd ke sūraj ke āsmāñ par thaal
farishte kheleñ haiñ holī binā abīr-o-gulāl
to aadmī kā bhalā kyā shumār holī meñ
sunā ke holī jo zohra bajātī hai tambūr
to us ke raag se bārah burūj haiñ māmūr
chhūoñ sitāroñ ke uupar paḌā hai rañg kā nuur
sabhoñ ke sar pe ye har dam pukārtī hai huur
jo ghir ke abr kabhī is maze meñ aatā hai
to bādaloñ meñ vo kyā kyā hī rañg laatā hai
ḳhushī se ra.ad bhī Dholak kī gat lagātā hai
havā ko holiyāñ gā gā ke kyā nachātā hai
tamām rañg se pur hai bahār holī meñ
chaman meñ dekho to din raat holī rahtī hai
sharāb-e-nāb kī gulshan meñ nahr bahtī hai
nasīm pyaar se ġhunche kā haath gahtī hai
to bāġhbān se bulbul khaḌī ye kahtī hai
na chheḌ mujh ko tū ai bad-shi.ār holī meñ
guloñ ne pahne haiñ kyā kyā hī joḌe rañg-ba-rañg
ki jaise laḌke ye māshūq pahante haiñ tañg
havā se pattoñ ke bajte haiñ taal aur mirdañg
tamām baaġh meñ kheleñ haiñ holī gul ke sañg
ajab tarah kī machī hai bahār holī meñ
amiir jitne haiñ sab apne ghar meñ haiñ ḳhush-hāl
qabā.eñ pahne hue tañg tañg gul kī misāl
banā ke gahrī tarah hauz mil ke sab filhāl
machā.e holiyāñ aapas meñ le abīr-o-gulāl
bane haiñ rañg se rañgīñ nigār holī meñ
ye sair holī kī ham ne to biruj meñ dekhī
kahīñ na hovegī is lutf kī miyāñ holī
koī to Duubā hai dāman se le ke tā cholī
koī to murlī bajātā hai kah kanhaiyā jī
hai dhūm-dhām pe be-iḳhtiyār holī meñ
gharoñ se sāñvarī aur goriyāñ nikal chaliyāñ
kusumbī oḌhnī aur mast kurtī uchhalyyāñ
jidhar ko dekheñ udhar mach rahī haiñ rañg-raliyāñ
tamām brij kī pariyoñ se bhar rahīñ galiyāñ
mazā hai sair hai dar har kanār holī meñ
jo kuchh kahānī hai ablā bahut piyā maarī
chalī hai apne piyā paas le ke pichkārī
gulāl dekh ke phir chhātī khol dī saarī
piyā kī chhātī se lagtī vo chaav kī maarī
na taab dil ko rahī ne qarār holī meñ
jo koī siyānī hai in meñ to koī hai nā-kunad
vo shor-bor thī sab rañg se nipaT yak chand
koī dilātī hai sāthin ko yaar key saugand
ki ab to jāma-o-añgiyā ke Tole haiñ sab band
phir aa ke kheleñge ho kar do-chār holī meñ
'nazīr' holī kā mausam jo jag meñ aatā hai
vo aisā kaun hai holī nahīñ manātā hai
koī to rañg chhiḌaktā hai koī gaatā hai
jo ḳhālī rahtā hai vo dekhne ko jaatā hai
jo aish chāho so miltā hai yaar holī meñ
miyan tu hum se na rakh kuchh ghubar holi mein
ki ruThe milte hain aapas mein yar holi mein
machi hai rang ki kaisi bahaar holi mein
hua hai zor-e-chaman aashkar holi mein
ajab ye hind ki dekhi bahaar holi mein
ab is mahine mein pahunchi hai yan talak ye chaal
falak ka jama pahan surKHi-e-shafaq se lal
bana ke chand ke suraj ke aasman par thaal
farishte khelen hain holi bina abir-o-gulal
to aadmi ka bhala kya shumar holi mein
suna ke holi jo zohra bajati hai tambur
to us ke rag se barah buruj hain mamur
chhuon sitaron ke upar paDa hai rang ka nur
sabhon ke sar pe ye har dam pukarti hai hur
jo ghir ke abr kabhi is maze mein aata hai
to baadalon mein wo kya kya hi rang lata hai
KHushi se rad bhi Dholak ki gat lagata hai
hawa ko holiyan ga ga ke kya nachata hai
tamam rang se pur hai bahaar holi mein
chaman mein dekho to din raat holi rahti hai
sharab-e-nab ki gulshan mein nahr bahti hai
nasim pyar se ghunche ka hath gahti hai
to baghban se bulbul khaDi ye kahti hai
na chheD mujh ko tu ai bad-shiar holi mein
gulon ne pahne hain kya kya hi joDe rang-ba-rang
ki jaise laDke ye mashuq pahante hain tang
hawa se patton ke bajte hain tal aur mirdang
tamam bagh mein khelen hain holi gul ke sang
ajab tarah ki machi hai bahaar holi mein
amir jitne hain sab apne ghar mein hain KHush-haal
qabaen pahne hue tang tang gul ki misal
bana ke gahri tarah hauz mil ke sab filhaal
machae holiyan aapas mein le abir-o-gulal
bane hain rang se rangin nigar holi mein
ye sair holi ki hum ne to biruj mein dekhi
kahin na howegi is lutf ki miyan holi
koi to Duba hai daman se le ke ta choli
koi to murli bajata hai kah kanhaiya ji
hai dhum-dham pe be-iKHtiyar holi mein
gharon se sanwari aur goriyan nikal chaliyan
kusumbi oDhni aur mast kurti uchhalyyan
jidhar ko dekhen udhar mach rahi hain rang-raliyan
tamam brij ki pariyon se bhar rahin galiyan
maza hai sair hai dar har kanar holi mein
jo kuchh kahani hai abla bahut piya mari
chali hai apne piya pas le ke pichkari
gulal dekh ke phir chhati khol di sari
piya ki chhati se lagti wo chaw ki mari
na tab dil ko rahi ne qarar holi mein
jo koi siyani hai in mein to koi hai na-kunad
wo shor-bor thi sab rang se nipaT yak chand
koi dilati hai sathin ko yar key saugand
ki ab to jama-o-angiya ke Tole hain sab band
phir aa ke khelenge ho kar do-chaar holi mein
'nazir' holi ka mausam jo jag mein aata hai
wo aisa kaun hai holi nahin manata hai
koi to rang chhiDakta hai koi gata hai
jo KHali rahta hai wo dekhne ko jata hai
jo aish chaho so milta hai yar holi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.