Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

akele kamre mein

Kafeel Aazar Amrohvi

akele kamre mein

Kafeel Aazar Amrohvi

MORE BYKafeel Aazar Amrohvi

    abhī se un ke liye itnī be-qarār na ho

    kiyā hai mujh ko bahut be-qarār chheḌā hai

    tumhāre sher sunā kar tumhāre sar qasam

    saheliyoñ ne mujhe baar baar chheḌā hai

    kashish nahīñ hai tumhāre binā bahāroñ meñ

    ye chhat ye chāñd sitāre udaas lagte haiñ

    chaman rañg nasīm-e-sahar gulāb ke phuul

    nahīñ ho tum to ye saare udaas lagte haiñ

    ḳhabar sunī hai kabhī jab tumhāre aane

    maiñ aa.ine meñ dulhan ban ke muskurā.ī huuñ

    ga.ī huuñ dāman-e-dil ko ḳhushī se bharne magar

    jahān bhar udāsī sameT laa.ī huuñ

    kahīñ pe gaa.e ga.e haiñ jo giit bābul ke

    to ajnabī se ḳhayāloñ meñ kho ga.ī huuñ maiñ

    tumhārī yaad ke siine pe bār-hā 'āzar'

    tasavvurāt sar rakh ke so ga.ī huuñ maiñ

    tumheñ yaqīn na hogā akele kamre meñ

    maiñ apnī jaan se pyāre ḳhutūt paḌhtī huuñ

    tamām raat tumheñ yaad kartī rahtī huuñ

    tamām raat tumhāre ḳhutūt paḌhtī huuñ

    tum aa bhī jaao ki guzre hue dinoñ tarah

    sulag na jaa.eñ kahīñ hasratoñ tasvīreñ

    udaas ke na chheḌeñ saheliyāñ mujh ko

    badal bhī do mirī tanhā.iyoñ taqdīreñ

    abhi se un ke liye itni be-qarar na ho

    kiya hai mujh ko bahut be-qarar chheDa hai

    tumhaare sher suna kar tumhaare sar ki qasam

    saheliyon ne mujhe bar bar chheDa hai

    kashish nahin hai tumhaare bina bahaaron mein

    ye chhat ye chand sitare udas lagte hain

    chaman ka rang nasim-e-sahar gulab ke phul

    nahin ho tum to ye sare udas lagte hain

    KHabar suni hai kabhi jab tumhaare aane ki

    main aaine mein dulhan ban ke muskurai hun

    gai hun daman-e-dil ko KHushi se bharne magar

    jahan bhar ki udasi sameT lai hun

    kahin pe gae gae hain jo git babul ke

    to ajnabi se KHayalon mein kho gai hun main

    tumhaari yaad ke sine pe bar-ha 'azar'

    tasawwuraat ka sar rakh ke so gai hun main

    tumhein yaqin na hoga akele kamre mein

    main apni jaan se pyare KHutut paDhti hun

    tamam raat tumhein yaad karti rahti hun

    tamam raat tumhaare KHutut paDhti hun

    tum aa bhi jao ki guzre hue dinon ki tarah

    sulag na jaen kahin hasraton ki taswiren

    udas pa ke na chheDen saheliyan mujh ko

    badal bhi do meri tanhaiyon ki taqdiren

    Source :
    • Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 112)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now