Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Akhtar Imam Rizvi's Photo'

Akhtar Imam Rizvi

Akhtar Imam Rizvi

Ghazal 11

Sher-o-Shayari 15

kam-zarf zamāne hiqārat gila kyā

maiñ ḳhush huuñ mirā pyaar samundar tarah hai

kam-zarf zamane ki hiqarat ka gila kya

main KHush hun mera pyar samundar ki tarah hai

ab bhī aatī hai tirī yaad pa is karb ke saath

TūTtī niiñd meñ jaise koī sapnā dekhā

ab bhi aati hai teri yaad pa is karb ke sath

TuTti nind mein jaise koi sapna dekha

toḌ bhī do ehsās ke rishte chhoḌ bhī do dukh apnāne

ro ro ke jīvan kāTo.ge ro ro ke mar jāoge

toD bhi do ehsas ke rishte chhoD bhi do dukh apnane

ro ro ke jiwan kaToge ro ro ke mar jaoge

mujh ko manzil bhī na pahchān sakī

maiñ ki jab gard-e-safar se niklā

mujh ko manzil bhi na pahchan saki

main ki jab gard-e-safar se nikla

apnoñ chāhatoñ ne bhī kyā kyā diye fareb

rote rahe lipaT ke har ik ajnabī ke saath

apnon ki chahaton ne bhi kya kya diye fareb

rote rahe lipaT ke har ek ajnabi ke sath

Image Shayari 1

 

Recitation

Speak Now