Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
A.R Sahil 'Aleeg''s Photo'

A.R Sahil 'Aleeg'

1992 | Uttar pradesh, India

A.R Sahil 'Aleeg'

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 9

piine paḌte haiñ saiñkaḌoñ aañsū

dard ḳhud to davā nahīñ hotā

pine paDte hain sainkaDon aansu

dard KHud to dawa nahin hota

kyā batā.ūñ maiñ ki tum ne kis ko sauñpī hai hayā

is liye sochā mirī ḳhāmoshiyāñ Thiik haiñ

kya bataun main ki tum ne kis ko saunpi hai haya

is liye socha meri KHamoshiyan hi Thik hain

ho na paa.e jab mukammal ishq qissa to phir

shohrateñ rahne do ab gum-nāmiyāñ Thiik haiñ

ho na pae jab mukammal ishq ka qissa to phir

shohraten rahne do ab gum-namiyan hi Thik hain

is qadar mujh pe martī hai paglī koī

rone lagtī hai d p haTāne ke baad

is qadar mujh pe marti hai pagli koi

rone lagti hai d p haTane ke baad

shaam ke tan par sajī jo surma.ī poshāk hai

ham charāġhoñ faqat ye raushnī poshāk hai

sham ke tan par saji jo surmai poshak hai

hum charaghon ki faqat ye raushni poshak hai

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now