ALL
Profile
Ghazal88
Nazm150
Sher85
E-book222
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari54
Audio95
Video341
Qita37
Qisse3
Article3
Gallery 21
Blog4
Other
Lori1
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal 88
Nazm 150
Sher-o-Shayari 85
aur bhī dukh haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā
rāhateñ aur bhī haiñ vasl kī rāhat ke sivā
sorrows other than love's longing does this life provide
comforts other than a lover's union too abide
aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
rahaten aur bhi hain wasl ki rahat ke siwa
sorrows other than love's longing does this life provide
comforts other than a lover's union too abide
-
Share this
- Translation
dil nā-umīd to nahīñ nākām hī to hai
lambī hai ġham kī shaam magar shaam hī to hai
dil na-umid to nahin nakaam hi to hai
lambi hai gham ki sham magar sham hi to hai
-
Share this
- See Ghazal
kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā hisāb
aaj tum yaad be-hisāb aa.e
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aae
-
Share this
- See Ghazal
aur kyā dekhne ko baaqī hai
aap se dil lagā ke dekh liyā
what else is there now for me to view
I have experienced being in love with you
aur kya dekhne ko baqi hai
aap se dil laga ke dekh liya
what else is there now for me to view
I have experienced being in love with you
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
donoñ jahān terī mohabbat meñ haar ke
vo jā rahā hai koī shab-e-ġham guzār ke
donon jahan teri mohabbat mein haar ke
wo ja raha hai koi shab-e-gham guzar ke
-
Share this
- See Ghazal
Qita 37
Qisse 3
Article 3
Lori 1
BOOKS 222
Image Shayari 54
dasht-e-tanhaa.ii me.n ai jaan-e-jahaa.n larzaa.n hai.n terii aavaaz ke saa.e tire ho.nTo.n ke saraab dasht-e-tanhaa.ii me.n duurii ke KHas o KHaak tale khil rahe hai.n tire pahluu ke saman aur gulaab uTh rahii hai kahii.n qurbat se tirii saa.ns kii aa.nch apnii KHushbuu me.n sulagtii hu.ii maddham maddham duur ufuq paar chamaktii hu.ii qatra qatra gir rahii hai tirii dildaar nazar kii shabnam is qadar pyaar se ai jaan-e-jahaa.n rakkhaa hai dil ke ruKHsaar pe is vaqt tirii yaad ne haat yuu.n gumaa.n hotaa hai garche hai abhii sub.h-e-firaaq Dhal gayaa hijr kaa din aa bhii ga.ii vasl kii raat