Fani Badayuni
Ghazal 95
Nazm 1
Sher-o-Shayari 89
har nafas umr-e-guzishta kī hai mayyat 'fānī'
zindagī naam hai mar mar ke jiye jaane kā
har nafas umr-e-guzishta ki hai mayyat 'fani'
zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka
-
Share this
- See Ghazal
nā-umīdī maut se kahtī hai apnā kaam kar
aas kahtī hai Thahar ḳhat kā javāb aane ko hai
na-umidi maut se kahti hai apna kaam kar
aas kahti hai Thahar KHat ka jawab aane ko hai
-
Share this
- See Ghazal
ik muamma hai samajhne kā na samjhāne kā
zindagī kaahe ko hai ḳhvāb hai dīvāne kā
ek muamma hai samajhne ka na samjhane ka
zindagi kahe ko hai KHwab hai diwane ka
-
Share this
- See Ghazal
Qita 2
Rubai 3
BOOKS 43
Image Shayari 7
kyaa chhupaate kisii se haal apnaa jii hii jab ho gayaa niDhaal apnaa ham hai.n us ke KHayaal kii tasviir jis kii tasviir hai KHayaal apnaa vo bhii ab Gam ko Gam samajhte hai.n duur pahu.nchaa magar malaal apnaa tuu ne rakh lii gunaahgaar kii sharm kaam aayaa na infi.aal apnaa dekh dil kii zamii.n laraztii hai yaad-e-jaanaa.n qadam sambhaal apnaa baa-KHabar hai.n vo sab kii haalat se laa.o ham puuchh le.n na haal apnaa maut bhii to na mil sakii 'faanii' kis se puuraa hu.aa savaal apnaa