Gulnar Aafreen
Ghazal 13
Nazm 3
Sher-o-Shayari 20
saudā hai zamīroñ kā har gaam tijārat hai
chup huuñ to qayāmat hai bolūñ to baġhāvat hai
sauda hai zamiron ka har gam tijarat hai
chup hun to qayamat hai bolun to baghawat hai
- Add to favorites
-
Share this
kin shahīdoñ ke lahū ke ye farozāñ haiñ charāġh
raushnī sī jo hai zindāñ ke har ik rauzan meñ
kin shahidon ke lahu ke ye farozan hain charagh
raushni si jo hai zindan ke har ek rauzan mein
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ek parchhā.īñ tasavvur kī mire saath rahe
maiñ tujhe bhūlūñ magar yaad mujhe tū aa.e
ek parchhain tasawwur ki mere sath rahe
main tujhe bhulun magar yaad mujhe tu aae
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
safar kā rañg hasīñ qurbatoñ kā hāmil ho
bahār ban ke koī ab to ham-safar aa.e
safar ka rang hasin qurbaton ka hamil ho
bahaar ban ke koi ab to ham-safar aae
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
'gulnār' maslahat kī zabāñ meñ na baat kar
vo zahr pī ke dekh jo sachchā.iyoñ meñ hai
'gulnar' maslahat ki zaban mein na baat kar
wo zahr pi ke dekh jo sachchaiyon mein hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal