Sher of Hijr Nazim Ali Khan
kuchh ḳhabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tirī yaad meñ bedār rahā
kuchh KHabar hai tujhe o chain se sone wale
raat bhar kaun teri yaad mein bedar raha
us bazm meñ jo kuchh nazar aayā nazar aayā
ab kaun batā.e ki hameñ kyā nazar aayā
us bazm mein jo kuchh nazar aaya nazar aaya
ab kaun batae ki hamein kya nazar aaya
kabhī ye fikr ki vo yaad kyuuñ kareñge hameñ
kabhī ḳhayāl ki ḳhat kā javāb aa.egā
kabhi ye fikr ki wo yaad kyun karenge hamein
kabhi KHayal ki KHat ka jawab aaega
-
Tag : Khat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai hijr vaqt Tal nahīñ saktā hai maut kā
lekin ye dekhnā hai ki miTTī kahāñ kī hai
ai hijr waqt Tal nahin sakta hai maut ka
lekin ye dekhna hai ki miTTi kahan ki hai
haañ haañ tumhāre husn kī koī ḳhatā nahīñ
maiñ husn-e-ittifāq se dīvāna ho gayā
han han tumhaare husn ki koi KHata nahin
main husn-e-ittifaq se diwana ho gaya
shab-e-firāq kuchh aisā ḳhayāl-e-yār rahā
ki raat bhar dil-e-ġham-dīda be-qarār rahā
shab-e-firaq kuchh aisa KHayal-e-yar raha
ki raat bhar dil-e-gham-dida be-qarar raha
-
Tag : Beqarari
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahegī hashr ke din us kī rahmat-e-be-had
ki be-gunāh se achchhā gunāh-gār rahā
kahegi hashr ke din us ki rahmat-e-be-had
ki be-gunah se achchha gunah-gar raha
-
Tag : Gunah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujhe vo yaad karte haiñ ye kah kar
ḳhudā baḳhshe nihāyat bā-vafā thā
mujhe wo yaad karte hain ye kah kar
KHuda baKHshe nihayat ba-wafa tha
-
Tag : Yaad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sīrat kisī kī ḳhuub hai sūrat kisī kī ḳhuub
koī hamāre dil meñ hai koī nazar meñ hai
sirat kisi ki KHub hai surat kisi ki KHub
koi hamare dil mein hai koi nazar mein hai
kyā rashk hai ki ek kā hai ek mudda.ī
tum dil meñ ho to dard hamāre jigar meñ hai
kya rashk hai ki ek ka hai ek muddai
tum dil mein ho to dard hamare jigar mein hai
aayā bhī koī dil meñ gayā bhī koī dil se
aanā nazar aayā na ye jaanā nazar aayā
aaya bhi koi dil mein gaya bhi koi dil se
aana nazar aaya na ye jaana nazar aaya
aks se apne vo yuuñ kahte haiñ ā.īne meñ
aap achchhe haiñ magar aap se achchhā maiñ huuñ
aks se apne wo yun kahte hain aaine mein
aap achchhe hain magar aap se achchha main hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download