Javed Naseemi
Ghazal 9
Sher-o-Shayari 15
ek chehra hai jo āñkhoñ meñ basā rahtā hai
ik tasavvur hai jo tanhā nahīñ hone detā
ek chehra hai jo aankhon mein basa rahta hai
ek tasawwur hai jo tanha nahin hone deta
- Add to favorites
-
Share this
jise na aane kī qasmeñ maiñ de ke aayā huuñ
usī ke qadmoñ kī aahaT kā intizār bhī hai
jise na aane ki qasmen main de ke aaya hun
usi ke qadmon ki aahaT ka intizar bhi hai
- Add to favorites
-
Share this
muddat huī ki zinda huuñ dekhe baġhair use
vo shaḳhs mere dil se utar to nahīñ gayā
muddat hui ki zinda hun dekhe baghair use
wo shaKHs mere dil se utar to nahin gaya
- Add to favorites
-
Share this
zarā qarīb se dekhūñ to koī raaz khule
yahāñ to har koī lagtā hai aadmī jaisā
zara qarib se dekhun to koi raaz khule
yahan to har koi lagta hai aadmi jaisa
- Add to favorites
-
Share this
saath chāval ke ye kañkar bhī nigal jaatā hai
bhuuk meñ aadmī patthar bhī nigal jaatā hai
sath chawal ke ye kankar bhi nigal jata hai
bhuk mein aadmi patthar bhi nigal jata hai
- Add to favorites
-
Share this