Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Javed Nasir's Photo'

Javed Nasir

1949 - 2006

Javed Nasir

Ghazal 21

Nazm 6

Sher-o-Shayari 12

bahut udaas thā us din magar huā kyā thā

har ek baat bhalī thī to phir burā kyā thā

bahut udas tha us din magar hua kya tha

har ek baat bhali thi to phir bura kya tha

dasht dhuup hai jañgal ghanī rāteñ haiñ

is kahānī meñ bahr haal ka.ī bāteñ haiñ

dasht ki dhup hai jangal ki ghani raaten hain

is kahani mein bahr haal kai baaten hain

dosto tum se guzārish hai yahāñ mat aao

is baḌe shahr meñ tanhā.ī bhī mar jaatī hai

dosto tum se guzarish hai yahan mat aao

is baDe shahr mein tanhai bhi mar jati hai

raat aa jaa.e to phir tujh ko pukārūñ yā-rab

merī āvāz ujāle meñ bikhar jaatī hai

raat aa jae to phir tujh ko pukarun ya-rab

meri aawaz ujale mein bikhar jati hai

ḳhudā ābād rakkhe zindagī ko

hamārī ḳhāmushī ko sah ga.ī hai

KHuda aabaad rakkhe zindagi ko

hamari KHamushi ko sah gai hai

BOOKS 5

 

Image Shayari 2

 

Audios 4

bahut udaas thaa us din magar hu.aa kyaa thaa

duniyaa hai tez dhuup samundar hai jaise tuu

ghar kii tasalliyo.n me.n javaaz-e-hunar to hai

Recitation

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now