Sher of Jazib Quraishi
kyuuñ maañg rahe ho kisī bārish kī duā.eñ
tum apne shikasta dar-o-dīvār to dekho
kyun mang rahe ho kisi barish ki duaen
tum apne shikasta dar-o-diwar to dekho
terī yādoñ kī chamaktī huī mash.al ke sivā
merī āñkhoñ meñ koī aur ujālā hī nahīñ
teri yaadon ki chamakti hui mashal ke siwa
meri aankhon mein koi aur ujala hi nahin
mire vajūd ke ḳhushbū-nigār sahrā meñ
vo mil ga.e haiñ to mil kar bichhaḌ bhī sakte haiñ
mere wajud ke KHushbu-nigar sahra mein
wo mil gae hain to mil kar bichhaD bhi sakte hain
daftar kī thakan oḌh ke tum jis se mile ho
us shaḳhs ke taaza lab-o-ruḳhsār to dekho
daftar ki thakan oDh ke tum jis se mile ho
us shaKHs ke taza lab-o-ruKHsar to dekho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mirī shā.irī meñ chhup kar koī aur boltā hai
sar-e-ā.ina jo dekhūñ to vo shaḳhs dūsrā hai
meri shairi mein chhup kar koi aur bolta hai
sar-e-aina jo dekhun to wo shaKHs dusra hai
terī ḳhushbū pyaar ke lahje meñ bole to sahī
dil kī har dhaḌkan ko ik chehra nayā mil jā.egā
teri KHushbu pyar ke lahje mein bole to sahi
dil ki har dhaDkan ko ek chehra naya mil jaega
dekh le zarā aa kar āñsuoñ ke ā.īne
maiñ sajā ke palkoñ par terā pyaar laayā huuñ
dekh le zara aa kar aansuon ke aaine
main saja ke palkon par tera pyar laya hun
kuchh mere dhaḌakte hue dil ne bhī pukārā
kuchh aap ko bāzār meñ dhokā bhī huā hai
kuchh mere dhaDakte hue dil ne bhi pukara
kuchh aap ko bazar mein dhoka bhi hua hai
jab bhī aatā hai vo mere dhyān meñ
phuul rakh jaatā hai roshan-dān meñ
jab bhi aata hai wo mere dhyan mein
phul rakh jata hai roshan-dan mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chāñd kā daaġh miTā.eñge ham
terī tasvīr banā.eñge ham
chand ka dagh miTaenge hum
teri taswir banaenge hum
sunahrī dhuup kā TukḌā huuñ lekin
tire saa.e meñ chalnā chāhtā huuñ
sunahri dhup ka TukDa hun lekin
tere sae mein chalna chahta hun
mire pyaar kā koī hāsil nahīñ hai
vo ik mauj huuñ jis kā sāhil nahīñ hai
mere pyar ka koi hasil nahin hai
wo ek mauj hun jis ka sahil nahin hai
mujh ko baḌe ḳhulūs se barbād kar diyā
'jāzib' kisī ne ek havas-kār ke liye
mujh ko baDe KHulus se barbaad kar diya
'jazib' kisi ne ek hawas-kar ke liye
pyaar kī ḳhud-farebiyāñ tauba
miTte miTte bhī aas rahtī hai
pyar ki KHud-farebiyan tauba
miTte miTte bhi aas rahti hai