Sher of Mirza Mayal Dehlvi
tujh ko dekhā na tire nāz-o-adā ko dekhā
terī har tarz meñ ik shān-e-ḳhudā ko dekhā
tujh ko dekha na tere naz-o-ada ko dekha
teri har tarz mein ek shan-e-KHuda ko dekha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujhe kāfir hī batātā hai ye vaa.iz kam-baḳht
maiñ ne bandoñ meñ ka.ī baar ḳhudā ko dekhā
mujhe kafir hi batata hai ye waiz kam-baKHt
main ne bandon mein kai bar KHuda ko dekha
-
Tag : Waiz
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
talḳhī tumhāre va.az meñ hai vā.izo magar
dekho to kis maze kī hai talḳhī sharāb meñ
talKHi tumhaare waz mein hai waizo magar
dekho to kis maze ki hai talKHi sharab mein
māneñ jo merī baat murīdān-e-be-riyā
deñ shaiḳh ko kafan to Dubo kar sharāb meñ
manen jo meri baat muridan-e-be-riya
den shaiKH ko kafan to Dubo kar sharab mein
-
Tag : Sharab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maa.il ko jānte bhī ho hazrat haiñ ek riñd
kyā e'tibār aap ke roze namāz kā
mail ko jaante bhi ho hazrat hain ek rind
kya e'tibar aap ke roze namaz ka
ishq bhī kyā chiiz hai sahal bhī dushvār hai
un ko idhar dekhnā mujh ko udhar dekhnā
ishq bhi kya chiz hai sahal bhi dushwar hai
un ko idhar dekhna mujh ko udhar dekhna
īmān jaa.e yā rahe jo ho balā se ho
ab to nazar meñ vo but-e-kāfir samā gayā
iman jae ya rahe jo ho bala se ho
ab to nazar mein wo but-e-kafir sama gaya
na ka.aba hī tajallī-gāh Thahrāyā na but-ḳhāna
laḌānā ḳhuub aatā hai tumheñ shaiḳh o barahman ko
na kaba hi tajalli-gah Thahraya na but-KHana
laDana KHub aata hai tumhein shaiKH o barahman ko
mileñ kisī se to bad-nām hoñ zamāne meñ
abhī ga.e haiñ vo mujh ko sunā ke parde meñ
milen kisi se to bad-nam hon zamane mein
abhi gae hain wo mujh ko suna ke parde mein
tauba ke TūTte kā hai 'mā.il' malāl kyuuñ
aisī to hotī rahtī hai akasr shabāb meñ
tauba ke TuTte ka hai 'mail' malal kyun
aisi to hoti rahti hai akasr shabab mein
dil kyā nigāh-e-mast se mai-ḳhāna ban gayā
mazmūn-e-āshiqāna bhī rindāna ban gayā
dil kya nigah-e-mast se mai-KHana ban gaya
mazmun-e-ashiqana bhi rindana ban gaya
tumheñ samjhā.eñ to kyā ham ki shaiḳh-e-vaqt ho maa.il
tum apne aap ko dekho aur ik tifl-e-barhaman ko
tumhein samjhaen to kya hum ki shaiKH-e-waqt ho mail
tum apne aap ko dekho aur ek tifl-e-barhaman ko
azmat-e-ka.aba musallam hai magar but-kada meñ
ek ārām ye kaisā hai ki kuchh duur nahīñ
azmat-e-kaba musallam hai magar but-kada mein
ek aaram ye kaisa hai ki kuchh dur nahin