Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Murtaza Barlas's Photo'

Murtaza Barlas

1934

A renowned modern poet of Pakistan

A renowned modern poet of Pakistan

Sher of Murtaza Barlas

dushman-e-jāñ sahī dost samajhtā huuñ use

bad-duā jis mujhe ban ke duā lagtī hai

dushman-e-jaan hi sahi dost samajhta hun use

bad-dua jis ki mujhe ban ke dua lagti hai

naam is āmariyyat ho ki ho jamhūriyat

munsalik fir.auniyat masnad se tab thī ab bhī hai

nam is ka aamariyyat ho ki ho jamhuriyat

munsalik firauniyat masnad se tab thi ab bhi hai

maanā ki terā mujh se koī vāsta nahīñ

milne ke ba.ad mujh se zarā aa.ina bhī dekh

mana ki tera mujh se koi wasta nahin

milne ke baad mujh se zara aaina bhi dekh

mujhe ga.ī hai ye peshkash ki sazā meñ hoñgī riyāyateñ

jo qusūr maiñ ne kiyā nahīñ vo qubūl kar luuñ dabāo meñ

mujhe ki gai hai ye peshkash ki saza mein hongi riyayaten

jo qusur main ne kiya nahin wo qubul kar lun dabao mein

chehre chāñdnī pe na itnā bhī maan kar

vaqt-e-sahar rañg kabhī chāñd bhī dekh

chehre ki chandni pe na itna bhi man kar

waqt-e-sahar tu rang kabhi chand ka bhi dekh

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now