Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Najeeb Ahmad's Photo'

Najeeb Ahmad

1948 | Pakistan

Sher of Najeeb Ahmad

1.2K
Favorite

SORT BY

phir yuuñ huā ki mujh pe dīvār gir paḌī

lekin na khul sakā pas-e-dīvār kaun hai

phir yun hua ki mujh pe hi diwar gir paDi

lekin na khul saka pas-e-diwar kaun hai

zamīñ pe paañv zarā ehtiyāt se dharnā

ukhaḌ ga.e to qadam phir kahāñ sambhalte haiñ

zamin pe panw zara ehtiyat se dharna

ukhaD gae to qadam phir kahan sambhalte hain

ham to samjhe the ki chāroñ dar muqaffal ho chuke

kyā ḳhabar thī ek darvāza khulā rah jā.egā

hum to samjhe the ki chaaron dar muqaffal ho chuke

kya KHabar thi ek darwaza khula rah jaega

vahī rishte vahī naate vahī ġham

badan se ruuh tak uktā ga.ī thī

wahi rishte wahi nate wahi gham

badan se ruh tak ukta gai thi

ik tirī yaad gale aise paḌī hai ki 'najīb'

aaj kaam bhī ham kal pe uThā rakhte haiñ

ek teri yaad gale aise paDi hai ki 'najib'

aaj ka kaam bhi hum kal pe uTha rakhte hain

rukūñ to hujla-e-manzil pukārtā hai mujhe

qadam uThā.ūñ to rasta nazar nahīñ aatā

rukun to hujla-e-manzil pukarta hai mujhe

qadam uThaun to rasta nazar nahin aata

āsmānoñ se zamīnoñ pe javāb aa.egā

ek din raat Dhale yaum-e-hisāb aa.egā

aasmanon se zaminon pe jawab aaega

ek din raat Dhale yaum-e-hisab aaega

'najīb' ik vahm thā do chaar din saath hai lekin

tire ġham se to saarī umr rishta nikal aayā

'najib' ek wahm tha do chaar din ka sath hai lekin

tere gham se to sari umr ka rishta nikal aaya

maut se ziist takmīl nahīñ ho saktī

raushnī ḳhaak meñ tahlīl nahīñ ho saktī

maut se zist ki takmil nahin ho sakti

raushni KHak mein tahlil nahin ho sakti

ḳhema-e-jāñ tanāboñ ko ukhaḌ jaanā thā

ham se ik roz tirā ġham bhī bichhaḌ jaanā thā

KHema-e-jaan ki tanabon ko ukhaD jaana tha

hum se ek roz tera gham bhi bichhaD jaana tha

kis ne vafā ke naam pe dhokā diyā mujhe

kis se kahūñ ki merā gunahgār kaun hai

kis ne wafa ke nam pe dhoka diya mujhe

kis se kahun ki mera gunahgar kaun hai

zindagī bhar kamā.ī ye ta.alluq to hai

kuchh bache na bache is ko bachā rakhte haiñ

zindagi bhar ki kamai ye talluq hi to hai

kuchh bache ya na bache is ko bacha rakhte hain

is dā.era-e-raushni-o-rañg se aage

kyā jāniye kis haal meñ bastī ke makīñ haiñ

is daera-e-raushni-o-rang se aage

kya jaaniye kis haal mein basti ke makin hain

mirī numūd kisī jism talāsh meñ hai

maiñ raushnī huuñ añdheroñ meñ chal rahā huuñ abhī

meri numud kisi jism ki talash mein hai

main raushni hun andheron mein chal raha hun abhi

mirī zamīñ mujhe āġhosh meñ sameT bhī le

na āsmāñ rahūñ maiñ na āsmāñ merā

meri zamin mujhe aaghosh mein sameT bhi le

na aasman ka rahun main na aasman mera

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now