Pallav Mishra
Ghazal 11
Sher-o-Shayari 13
maiñ ek ḳhāna-ba-dosh huuñ jis kā ghar hai duniyā
so apne kāñdhe pe le ke ye ghar bhaTak rahā huuñ
main ek KHana-ba-dosh hun jis ka ghar hai duniya
so apne kandhe pe le ke ye ghar bhaTak raha hun
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
maiñ tujh se milne samay se pahle pahuñch gayā thā
so tere ghar ke qarīb aa kar bhaTak rahā huuñ
main tujh se milne samay se pahle pahunch gaya tha
so tere ghar ke qarib aa kar bhaTak raha hun
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ye tai huā thā ki ḳhuub ro.eñge jab mileñge
ab us ke shāne pe sar hai to hañste jā rahe haiñ
ye tai hua tha ki KHub roenge jab milenge
ab us ke shane pe sar hai to hanste ja rahe hain
- Add to favorites
-
Share this
ye jism tañg hai siine meñ bhī lahū kam hai
dil ab vo phuul hai jis meñ ki rañg-o-bū kam hai
ye jism tang hai sine mein bhi lahu kam hai
dil ab wo phul hai jis mein ki rang-o-bu kam hai
- Add to favorites
-
Share this
maiñ apnī maut se ḳhalvat meñ milnā chāhtā huuñ
so merī naav meñ bas maiñ huuñ nāḳhudā nahīñ hai
main apni maut se KHalwat mein milna chahta hun
so meri naw mein bas main hun naKHuda nahin hai
- Add to favorites
-
Share this
Image Shayari 1
tumhaarii duniyaa ke baahar andar bhaTak rahaa huu.n mai.n ba.ad-e-tark-e-jahaa.n yahii.n par bhaTak rahaa huu.n mai.n tujh se milne samay se pahle pahu.nch gayaa thaa so tere ghar ke qariib aa ke bhaTak rahaa huu.n mai.n ek KHaana-ba-dosh huu.n jis kaa ghar hai duniyaa so apne kaa.ndho.n pe le ke ye ghar bhaTak rahaa huu.n mai.n har qadam par sambhal sambhal kar bhaTakne vaalaa bhaTakne vaalo.n se kaafii behtar bhaTak rahaa huu.n
Videos 4
