Prem Kumar Nazar
Ghazal 24
Nazm 3
Sher-o-Shayari 11
aa.egī har taraf se havā dastakeñ liye
ūñchā makāñ banā ke bahut khiḌkiyāñ na rakh
aaegi har taraf se hawa dastaken liye
uncha makan bana ke bahut khiDkiyan na rakh
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
rakh dī hai us ne khol ke ḳhud jism kī kitāb
saada varaq pe le koī manzar utaar de
rakh di hai us ne khol ke KHud jism ki kitab
sada waraq pe le koi manzar utar de
- Add to favorites
-
Share this
jī chāhtā hai haath lagā kar bhī dekh leñ
us kā badan qabā hai ki us kī qabā badan
ji chahta hai hath laga kar bhi dekh len
us ka badan qaba hai ki us ki qaba badan
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
lafz chhin jaa.eñ magar tahrīr ho raushan jahāñ
hoñT hoñ ḳhāmosh lekin guftugū baaqī rahe
lafz chhin jaen magar tahrir ho raushan jahan
honT hon KHamosh lekin guftugu baqi rahe
- Add to favorites
-
Share this
usī ke zikr se ham shahr meñ hue badnām
vo ek shaḳhs ki jis se hamārī bol na chaal
usi ke zikr se hum shahr mein hue badnam
wo ek shaKHs ki jis se hamari bol na chaal
- Add to favorites
-
Share this