aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1980 | Delhi, India
zindagī se tañg aa kar ḳhud-kushī kar lī kisī ne
aur koī ḳhud-kushī kartā rahā hai zindagī-bhar
zindagi se tang aa kar KHud-kushi kar li kisi ne
aur koi KHud-kushi karta raha hai zindagi-bhar
ḳhaak se paidā huā hai ḳhaak meñ mil jā.egā
ek kulhaḌ kī tarah hai aadmī kī zindagī
KHak se paida hua hai KHak mein mil jaega
ek kulhaD ki tarah hai aadmi ki zindagi
mile do vaqt kī roTī sukūñ se niiñd aa jaa.e
yahī pahlī zarūrat hai jise ham bhuul jaate haiñ
mile do waqt ki roTi sukun se nind aa jae
yahi pahli zarurat hai jise hum bhul jate hain
ik tarīqa ye bhī thā phal bāñTte vo umr-bhar
bhā.iyoñ ne peḌ kaaTā aur lakḌī baañT lī
ek tariqa ye bhi tha phal banTte wo umr-bhar
bhaiyon ne peD kaTa aur lakDi banT li
kisī kā june kabhī ḳhatm hī nahīñ hotā
kisī ke paas december qiyām kartā hai
kisi ka june kabhi KHatm hi nahin hota
kisi ke pas december qiyam karta hai
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books