Sher of Saba Akbarabadi
apne jalne meñ kisī ko nahīñ karte haiñ sharīk
raat ho jaa.e to ham sham.a bujhā dete haiñ
apne jalne mein kisi ko nahin karte hain sharik
raat ho jae to hum shama bujha dete hain
samjhegā aadmī ko vahāñ kaun aadmī
banda jahāñ ḳhudā ko ḳhudā māntā nahīñ
samjhega aadmi ko wahan kaun aadmi
banda jahan KHuda ko KHuda manta nahin
ik roz chhīn legī hamīñ se zamīñ hameñ
chhīneñge kyā zamīñ ke ḳhazāne zamīñ se ham
ek roz chhin legi hamin se zamin hamein
chhinenge kya zamin ke KHazane zamin se hum
ġhalat-fahmiyoñ meñ javānī guzārī
kabhī vo na samjhe kabhī ham na samjhe
ghalat-fahmiyon mein jawani guzari
kabhi wo na samjhe kabhi hum na samjhe
aap ke lab pe aur vafā kī qasam
kyā qasam khaa.ī hai ḳhudā kī qasam
aap ke lab pe aur wafa ki qasam
kya qasam khai hai KHuda ki qasam
bhiiḌ tanhā.iyoñ kā melā hai
aadmī aadmī akelā hai
bhiD tanhaiyon ka mela hai
aadmi aadmi akela hai
sau baar jis ko dekh ke hairān ho chuke
jī chāhtā hai phir use ik baar dekhnā
sau bar jis ko dekh ke hairan ho chuke
ji chahta hai phir use ek bar dekhna
aap aa.e haiñ so ab ghar meñ ujālā hai bahut
kahiye jaltī rahe yā sham.a bujhā dī jaa.e
aap aae hain so ab ghar mein ujala hai bahut
kahiye jalti rahe ya shama bujha di jae
kab tak najāt pā.eñge vahm o yaqīñ se ham
uljhe hue haiñ aaj bhī duniyā o diiñ se ham
kab tak najat paenge wahm o yaqin se hum
uljhe hue hain aaj bhi duniya o din se hum
achchhā huā ki sab dar-o-dīvār gir paḌe
ab raushnī to hai mire ghar meñ havā to hai
achchha hua ki sab dar-o-diwar gir paDe
ab raushni to hai mere ghar mein hawa to hai
ā.īna kaisā thā vo shām-e-shakebā.ī kā
sāmnā kar na sakā apnī hī bīnā.ī kā
aaina kaisa tha wo sham-e-shakebai ka
samna kar na saka apni hi binai ka
raushnī ḳhud bhī charāġhoñ se alag rahtī hai
dil meñ jo rahte haiñ vo dil nahīñ hone paate
raushni KHud bhi charaghon se alag rahti hai
dil mein jo rahte hain wo dil nahin hone pate
aisā bhī koī ġham hai jo tum se nahīñ paayā
aisā bhī koī dard hai jo dil meñ nahīñ hai
aisa bhi koi gham hai jo tum se nahin paya
aisa bhi koi dard hai jo dil mein nahin hai
kaam aa.egī mizāj-e-ishq kī āshuftagī
aur kuchh ho yā na ho hañgāma-e-mahfil sahī
kaam aaegi mizaj-e-ishq ki aashuftagi
aur kuchh ho ya na ho hangama-e-mahfil sahi
dostoñ se ye kahūñ kyā ki mirī qadr karo
abhī arzāñ huuñ kabhī pāoge nāyāb mujhe
doston se ye kahun kya ki meri qadr karo
abhi arzan hun kabhi paoge nayab mujhe
ġham-e-daurāñ ko baḌī chiiz samajh rakkhā thā
kaam jab tak na paḌā thā ġham-e-jānāñ se hameñ
gham-e-dauran ko baDi chiz samajh rakkha tha
kaam jab tak na paDa tha gham-e-jaanan se hamein
ḳhvāhishoñ ne dil ko tasvīr-e-tamannā kar diyā
ik nazar ne aa.ine meñ aks gahrā kar diyā
KHwahishon ne dil ko taswir-e-tamanna kar diya
ek nazar ne aaine mein aks gahra kar diya
kamāl-e-zabt meñ yuuñ ashk-e-muztar TuuT kar niklā
asīr-e-ġham koī zindāñ se jaise chhūT kar niklā
kamal-e-zabt mein yun ashk-e-muztar TuT kar nikla
asir-e-gham koi zindan se jaise chhuT kar nikla
ishq aatā na agar rāh-numā.ī ke liye
aap bhī vāqif-e-manzil nahīñ hone paate
ishq aata na agar rah-numai ke liye
aap bhi waqif-e-manzil nahin hone pate
kab tak yaqīn ishq hameñ ḳhud na aa.egā
kab tak makāñ kā haal kaheñge makīñ se ham
kab tak yaqin ishq hamein KHud na aaega
kab tak makan ka haal kahenge makin se hum
abhī to ek vatan chhoḌ kar hī nikle haiñ
hanūz dekhnī baaqī haiñ hijrateñ kyā kyā
abhi to ek watan chhoD kar hi nikle hain
hanuz dekhni baqi hain hijraten kya kya
azal se aaj tak sajde kiye aur ye nahīñ sochā
kisī kā āstāñ kyuuñ hai kisī kā sañg-e-dar kyā hai
azal se aaj tak sajde kiye aur ye nahin socha
kisi ka aastan kyun hai kisi ka sang-e-dar kya hai
ravāñ hai qāfila-e-rūh-e-iltifāt abhī
hamārī raah se haT jaa.e kā.enāt abhī
rawan hai qafila-e-ruh-e-iltifat abhi
hamari rah se haT jae kaenat abhi
ga.e the naqd-e-girāñ-māya-e-ḳhulūs ke saath
ḳharīd laa.e haiñ sastī adāvateñ kyā kyā
gae the naqd-e-giran-maya-e-KHulus ke sath
KHarid lae hain sasti adawaten kya kya
havas-parast adīboñ pe had lage koī
tabāh karte haiñ lafzoñ kī ismateñ kyā kyā
hawas-parast adibon pe had lage koi
tabah karte hain lafzon ki ismaten kya kya
jab ishq thā to dil kā ujālā thā dahr meñ
koī charāġh nūr-badāmāñ nahīñ hai ab
jab ishq tha to dil ka ujala tha dahr mein
koi charagh nur-badaman nahin hai ab
kufr o islām ke jhagḌe ko chukā do sāhab
jañg aapas meñ kareñ shaiḳh o barahman kab tak
kufr o islam ke jhagDe ko chuka do sahab
jang aapas mein karen shaiKH o barahman kab tak
pastī ne bulandī ko banāyā hai haqīqat
ye rif.at-e-aflāk bhī muhtāj-e-zamīñ hai
pasti ne bulandi ko banaya hai haqiqat
ye rifat-e-aflak bhi muhtaj-e-zamin hai
bāl-o-par kī jumbihsoñ ko kaam meñ laate raho
ai qafas vaalo qafas se chhūTnā mushkil sahī
baal-o-par ki jumbihson ko kaam mein late raho
ai qafas walo qafas se chhuTna mushkil sahi
kaun uThā.e ishq ke anjām kī jānib nazar
kuchh asar baaqī haiñ ab tak hairat-e-āġhāz ke
kaun uThae ishq ke anjam ki jaanib nazar
kuchh asar baqi hain ab tak hairat-e-aghaz ke
kyā ma.āl-e-dahr hai merī mohabbat kā ma.aal
haiñ abhī lākhoñ fasāne muntazir āġhāz ke
kya maal-e-dahr hai meri mohabbat ka maal
hain abhi lakhon fasane muntazir aaghaz ke
musāfirān-e-rah-e-shauq sust-e-gām ho kyuuñ
qadam baḌhā.e hue haañ qadam baḌhā.e hue
musafiran-e-rah-e-shauq sust-e-gam ho kyun
qadam baDhae hue han qadam baDhae hue
TukḌe hue the dāman-e-hastī ke jis qadar
dalq-e-gadā-e-ishq ke paivand ho ga.e
TukDe hue the daman-e-hasti ke jis qadar
dalq-e-gada-e-ishq ke paiwand ho gae
is shaan kā āshufta-o-hairāñ na milegā
ā.īne se fursat ho to tasvīr-e-'sabā' dekh
is shan ka aashufta-o-hairan na milega
aaine se fursat ho to taswir-e-'saba' dekh