Sher on Hijrat
The act of moving or
shifting from one place to another, or from one country to another is what we know as migration. Human beings migrate for religious, political, economic, and several other reasons. The shers selected on this subject expose you to a wide variety of experiences concerning migration. These relate with the lingering memories of home, sense of loss, pains of separation, crisis of identity, and desire for retreat.
talāsh-e-rizq kā ye marhala ajab hai ki ham
gharoñ se duur bhī ghar ke liye base hue haiñ
talash-e-rizq ka ye marhala ajab hai ki hum
gharon se dur bhi ghar ke liye base hue hain
miTTī kī mohabbat meñ ham āshufta-saroñ ne
vo qarz utāre haiñ ki vājib bhī nahīñ the
miTTi ki mohabbat mein hum aashufta-saron ne
wo qarz utare hain ki wajib bhi nahin the
paanī meñ aks aur kisī āsmāñ kā hai
ye naav kaun sī hai ye dariyā kahāñ kā hai
pani mein aks aur kisi aasman ka hai
ye naw kaun si hai ye dariya kahan ka hai
-
Tag : Nostalgia
mujhe bhī lamha-e-hijrat ne kar diyā taqsīm
nigāh ghar kī taraf hai qadam safar kī taraf
mujhe bhi lamha-e-hijrat ne kar diya taqsim
nigah ghar ki taraf hai qadam safar ki taraf
ġhurbat kī ThanDī chhāñv meñ yaad aa.ī us kī dhuup
qadr-e-vatan huī hameñ tark-e-vatan ke baad
ghurbat ki ThanDi chhanw mein yaad aai us ki dhup
qadr-e-watan hui hamein tark-e-watan ke baad
tamām ḳhāna-ba-doshoñ meñ mushtarak hai ye baat
sab apne apne gharoñ ko palaT ke dekhte haiñ
tamam KHana-ba-doshon mein mushtarak hai ye baat
sab apne apne gharon ko palaT ke dekhte hain
-
Tag : Ghar
kuchh be-Thikāna kartī rahīñ hijrateñ mudām
kuchh merī vahshatoñ ne mujhe dar-ba-dar kiyā
kuchh be-Thikana karti rahin hijraten mudam
kuchh meri wahshaton ne mujhe dar-ba-dar kiya
-
Tag : Wahshat
maiñ kyā jānūñ gharoñ kā haal kyā hai
maiñ saarī zindagī bāhar rahā huuñ
main kya jaanun gharon ka haal kya hai
main sari zindagi bahar raha hun
dard-e-hijrat ke satā.e hue logoñ ko kahīñ
sāya-e-dar bhī nazar aa.e to ghar lagtā hai
dard-e-hijrat ke satae hue logon ko kahin
saya-e-dar bhi nazar aae to ghar lagta hai
-
Tag : Ghar
mujhe to ḳhair vatan chhoḌ kar amaañ na milī
vatan bhī mujh se ġharīb-ul-vatan ko tarsegā
mujhe to KHair watan chhoD kar aman na mili
watan bhi mujh se gharib-ul-watan ko tarsega
ye hijrateñ haiñ zamīn o zamāñ se aage kī
jo jā chukā hai use lauT kar nahīñ aanā
ye hijraten hain zamin o zaman se aage ki
jo ja chuka hai use lauT kar nahin aana
-
Tags : Mautand 1 more
shikam kī aag liye phir rahī hai shahr-ba-shahr
sag-e-zamāna haiñ ham kyā hamārī hijrat kyā
shikam ki aag liye phir rahi hai shahr-ba-shahr
sag-e-zamana hain hum kya hamari hijrat kya
ghar to kyā ghar kā nishāñ bhī nahīñ baaqī 'safdar'
ab vatan meñ kabhī jā.eñge to mehmāñ hoñge
ghar to kya ghar ka nishan bhi nahin baqi 'safdar'
ab watan mein kabhi jaenge to mehman honge
ye kis maqām pe sūjhī tujhe bichhaḌne kī
ki ab to jā ke kahīñ din sañvarne vaale the
ye kis maqam pe sujhi tujhe bichhaDne ki
ki ab to ja ke kahin din sanwarne wale the
-
Tag : Maut
maiñ bahut kamzor thā is mulk meñ hijrat ke baad
par mujhe is mulk meñ kamzor-tar us ne kiyā
main bahut kamzor tha is mulk mein hijrat ke baad
par mujhe is mulk mein kamzor-tar us ne kiya
phir na.ī hijrat koī darpesh hai
ḳhvāb meñ ghar dekhnā achchhā nahīñ
phir nai hijrat koi darpesh hai
KHwab mein ghar dekhna achchha nahin
-
Tags : Gharand 1 more
abhī to ek vatan chhoḌ kar hī nikle haiñ
hanūz dekhnī baaqī haiñ hijrateñ kyā kyā
abhi to ek watan chhoD kar hi nikle hain
hanuz dekhni baqi hain hijraten kya kya
har na.ī nasl ko ik taaza madīne kī talāsh
sāhibo ab koī hijrat nahīñ hogī ham se
har nai nasl ko ek taza madine ki talash
sahibo ab koi hijrat nahin hogi hum se
āzādiyoñ ke shauq o havas ne hameñ 'adīl'
ik ajnabī zamīn kā qaidī banā diyā
aazadiyon ke shauq o hawas ne hamein 'adil'
ek ajnabi zamin ka qaidi bana diya
ye kaisī hijrateñ haiñ mausamoñ meñ
parinde bhī nahīñ haiñ ghoñsloñ meñ
ye kaisi hijraten hain mausamon mein
parinde bhi nahin hain ghonslon mein
jab apnī sar-zamīn ne mujh ko na dī panāh
anjān vādiyoñ meñ utarnā paḌā mujhe
jab apni sar-zamin ne mujh ko na di panah
anjaan wadiyon mein utarna paDa mujhe
rasm-o-rivāj chhoḌ ke sab aa ga.e yahāñ
rakkhī huī haiñ taaq meñ ab ġhairateñ tamām
rasm-o-riwaj chhoD ke sab aa gae yahan
rakkhi hui hain taq mein ab ghairaten tamam
na ranj-e-hijrat thā aur na shauq-e-safar thā dil meñ
sab apne apne gunāh kā bojh Dho rahe the
na ranj-e-hijrat tha aur na shauq-e-safar tha dil mein
sab apne apne gunah ka bojh Dho rahe the
-
Tags : Gunahand 1 more
Dhañg ke ek Thikāne ke liye
ghar-kā-ghar naql-e-makānī meñ rahā
Dhang ke ek Thikane ke liye
ghar-ka-ghar naql-e-makani mein raha
apne rasm-o-rivāj kho baiThe
baaqī ab ḳhāndān meñ kyā hai
apne rasm-o-riwaj kho baiThe
baqi ab KHandan mein kya hai
ye ġham judā hai bahut jald-bāz the ham tum
ye dukh alag hai abhī kā.enāt baaqī hai
ye gham juda hai bahut jald-baz the hum tum
ye dukh alag hai abhi kaenat baqi hai