Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Be-Ghari

be-gharī bā'is-e-taskīn bhī hai mere liye

merī aulād virāsat pe nahīñ jhagḌegī

be-ghari ba'is-e-taskin bhi hai mere liye

meri aulad wirasat pe nahin jhagDegi

Sarwar Khan Sarwar

pāgal koī ik ik se yahī pūchhtā thā kal

ham sab kā ek ghar thā batāo kidhar gayā

pagal koi ek ek se yahi puchhta tha kal

hum sab ka ek ghar tha batao kidhar gaya

Hasan Kamal

hasīñ gharoñ pe likhī chār-sū hai dar-ba-darī

so hijratoñ ko isī be-gharī meñ dekhā gayā

hasin gharon pe likhi chaar-su hai dar-ba-dari

so hijraton ko isi be-ghari mein dekha gaya

Zakia Ghazal

aksar ye hādsa huā pahroñ ye ġham rahā

apne hī ghar meñ koī mujhe jāntā nahīñ

aksar ye hadsa hua pahron ye gham raha

apne hi ghar mein koi mujhe jaanta nahin

Matin Niazi

Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets

Speak Now