Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

adil zaidi

adil zaidi

Nazm 3

 

Sher-o-Shayari 11

maat khaa.ī hai aksar shaah ne payāde se

farq kuchh nahīñ paḌtā taaj aur libāde se

mat khai hai aksar shah ne payaade se

farq kuchh nahin paDta taj aur libaade se

  • Share this

apne rasm-o-rivāj kho baiThe

baaqī ab ḳhāndān meñ kyā hai

apne rasm-o-riwaj kho baiThe

baqi ab KHandan mein kya hai

  • Share this

haal pūchhte kyā ho qissa muḳhtasar ye hai

ghar na ban sakā ab tak jo makāñ banāyā thā

haal puchhte kya ho qissa muKHtasar ye hai

ghar na ban saka ab tak jo makan banaya tha

  • Share this

aañkh lagne na paa.ī sahar ho ga.ī

zindagī be-irāda basar ho ga.ī

aankh lagne na pai sahar ho gai

zindagi be-irada basar ho gai

  • Share this

ghaTā.eñ khul ke barsīñ thiiñ chaḌhe the dil ke dariyā bhī

chaḌhe dariyāoñ ik din utarnā bhī zarūrī thā

ghaTaen khul ke barsin thin chaDhe the dil ke dariya bhi

chaDhe dariyaon ka ek din utarna bhi zaruri tha

  • Share this

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now