talāsh-e-rizq kā ye marhala ajab hai ki ham
gharoñ se duur bhī ghar ke liye base hue haiñ
talash-e-rizq ka ye marhala ajab hai ki hum
gharon se dur bhi ghar ke liye base hue hain
collage ke sab bachche chup haiñ kāġhaz kī ik naav liye
chāroñ taraf dariyā kī sūrat phailī huī bekārī hai
collage ke sab bachche chup hain kaghaz ki ek naw liye
chaaron taraf dariya ki surat phaili hui bekari hai
'aslam' baḌe vaqār se degrē vasūl kī
aur is ke ba.ad shahr meñ ḳhvāncha lagā liyā
'aslam' baDe waqar se degree wasul ki
aur is ke baad shahr mein KHwancha laga liya
taaza vārid huuñ miyāñ aur ye shahr-e-dil hai
kuchh kamāne ko yahāñ kār-e-ziyāñ DhūñDtā huuñ
taza warid hun miyan aur ye shahr-e-dil hai
kuchh kamane ko yahan kar-e-ziyan DhunDta hun