Shakeel Jazib
Ghazal 11
Nazm 3
Sher-o-Shayari 10
phir tujhe aur mujhe aur kahīñ jaanā hai
ham-safar saath to chal jitnī saḌak baaqī hai
phir tujhe aur mujhe aur kahin jaana hai
ham-safar sath to chal jitni saDak baqi hai
-
Share this
- See Ghazal
mujh ko atā huā hai ye kaisā libās-e-zīst
baḌhte haiñ jis ke chaak barābar rafū ke saath
mujh ko ata hua hai ye kaisa libas-e-zist
baDhte hain jis ke chaak barabar rafu ke sath
-
Share this
- See Ghazal
kyā karūñ ai tishnagī terā mudāvā bas vo lab
jin laboñ ko chhū ke paanī aag bantā jaa.e hai
kya karun ai tishnagi tera mudawa bas wo lab
jin labon ko chhu ke pani aag banta jae hai
-
Share this
- See Ghazal
kyā kisī ummīd par phir se dar-e-dil vā karūñ
tujh se baḌh kar ḳhud batā merā shanāsā kaun thā
kya kisi ummid par phir se dar-e-dil wa karun
tujh se baDh kar KHud bata mera shanasa kaun tha
-
Share this
- See Ghazal
taaza vārid huuñ miyāñ aur ye shahr-e-dil hai
kuchh kamāne ko yahāñ kār-e-ziyāñ DhūñDtā huuñ
taza warid hun miyan aur ye shahr-e-dil hai
kuchh kamane ko yahan kar-e-ziyan DhunDta hun
-
Share this
- See Ghazal