Saghar Siddiqui
Ghazal 43
Sher-o-Shayari 44
ġham ke mujrim ḳhushī ke mujrim haiñ
log ab zindagī ke mujrim haiñ
gham ke mujrim KHushi ke mujrim hain
log ab zindagi ke mujrim hain
-
Share this
- See Ghazal
jab jaam diyā thā saaqī ne jab daur chalā thā mahfil meñ
ik hosh kī saa.at kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e
jab jam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahfil mein
ek hosh ki saat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
-
Share this
- See Ghazal
kāñTe to ḳhair kāñTe haiñ is kā gila hī kyā
phūloñ kī vārdāt se ghabrā ke pī gayā
kanTe to KHair kanTe hain is ka gila hi kya
phulon ki wardat se ghabra ke pi gaya
-
Share this
- See Ghazal
maiñ aadmī huuñ koī farishta nahīñ huzūr
maiñ aaj apnī zaat se ghabrā ke pī gayā
main aadmi hun koi farishta nahin huzur
main aaj apni zat se ghabra ke pi gaya
-
Share this
- See Ghazal
maut kahte haiñ jis ko ai 'sāġhar'
zindagī kī koī kaḌī hogī
maut kahte hain jis ko ai 'saghar'
zindagi ki koi kaDi hogi
-
Share this
- See Ghazal
Qita 22
Naat 1
BOOKS 7
Image Shayari 6
jaane vaale hamaarii mahfil se chaa.nd taaro.n ko saath letaa jaa ham KHizaa.n se nibaah kar le.nge tuu bahaaro.n ko saath letaa jaa