Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saleem Betab's Photo'

Saleem Betab

1940 - 1974 | Faisalabad, Pakistan

Saleem Betab

Ghazal 30

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 5

maiñ ne to yūñhī raakh meñ pherī thiiñ uñgliyāñ

dekhā jo ġhaur se tirī tasvīr ban ga.ī

main ne to yunhi rakh mein pheri thin ungliyan

dekha jo ghaur se teri taswir ban gai

vo kaun hai jo mire saath saath chaltā hai

ye dekhne ko ka.ī baar ruk gayā huuñ maiñ

wo kaun hai jo mere sath sath chalta hai

ye dekhne ko kai bar ruk gaya hun main

sarmā raat rail Dibbā udāsiyāñ

lambā safar hai aur tirā saath bhī nahīñ

sarma ki raat rail ka Dibba udasiyan

lamba safar hai aur tera sath bhi nahin

'betāb' laḌkiyoñ jasārat to dekhiye

ḳhud ko shumār kartī haiñ sab apsarāoñ meñ

'betab' laDkiyon ki jasarat to dekhiye

KHud ko shumar karti hain sab apsaraon mein

us mulk meñ bhī log qayāmat ke haiñ munkir

jis mulk ke har shahar meñ ik hashr bapā hai

us mulk mein bhi log qayamat ke hain munkir

jis mulk ke har shahar mein ek hashr bapa hai

  • Share this

More Poets From "Faisalabad"

Recitation

Speak Now