Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Sharaf Mujaddidi

Sharaf Mujaddidi

Ghazal 18

Sher-o-Shayari 22

is parde meñ ye husn aalam hai ilāhī

be-parda vo ho jaa.eñ to kyā jāniye kyā ho

is parde mein ye husn ka aalam hai ilahi

be-parda wo ho jaen to kya jaaniye kya ho

  • Share this

terī āñkheñ jise chāheñ use apnā kar leñ

kaash aisā sikhā deñ koī afsūñ mujh ko

teri aankhen jise chahen use apna kar len

kash aisa hi sikha den koi afsun mujh ko

  • Share this

allāh allāh ḳhusūsiyyat-e-zāt-e-hasnain

saarī ummat ke haiñ potoñ se navāse baḌh kar

allah allah KHususiyyat-e-zat-e-hasnain

sari ummat ke hain poton se nawase baDh kar

dil meñ mire jigar meñ mire aañkh meñ mirī

har hai dost aur nahīñ miltī hai jā-e-dost

dil mein mere jigar mein mere aankh mein meri

har ja hai dost aur nahin milti hai ja-e-dost

tamām chāragaroñ se to mil chukā hai javāb

tumheñ bhī dard-e-mohabbat sunā.e dete haiñ

tamam chaaragaron se to mil chuka hai jawab

tumhein bhi dard-e-mohabbat sunae dete hain

  • Share this

BOOKS 1

 

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now