Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Taimur Hasan's Photo'

Taimur Hasan

1974 | Punjab, Pakistan

Taimur Hasan

Ghazal 18

Sher-o-Shayari 13

ham duniyā se jab tañg aayā karte haiñ

apne saath ik shaam manāyā karte haiñ

hum duniya se jab tang aaya karte hain

apne sath ek sham manaya karte hain

  • Share this

safar meñ hotī hai pahchān kaun kaisā hai

ye aarzū thī mire saath safar kartā

safar mein hoti hai pahchan kaun kaisa hai

ye aarzu thi mere sath tu safar karta

mirī tavajjoh faqat mire kaam par rahegī

maiñ ḳhud ko sābit karūñgā da.avā nahīñ karūñgā

meri tawajjoh faqat mere kaam par rahegi

main KHud ko sabit karunga dawa nahin karunga

maiñ ne baḳhsh tirī kyuuñ ḳhatā tujhe ilm hai

tujhe hai kitnī kaḌī sazā tujhe ilm hai

main ne baKHsh di teri kyun KHata tujhe ilm hai

tujhe di hai kitni kaDi saza tujhe ilm hai

phir jo karne lagā hai va.ada

kyā mukarne phir irāda hai

phir jo karne laga hai tu wada

kya mukarne ka phir irada hai

More Poets From "Punjab"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now