Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Tajwar Najibabadi's Photo'

Tajwar Najibabadi

1894 - 1951 | Lahore, Pakistan

Tajwar Najibabadi

Ghazal 7

Sher-o-Shayari 9

bardāsht dard-e-ishq dushvār ho ga.ī

ab zindagī bhī jaan āzār ho ga.ī

bardasht dard-e-ishq ki dushwar ho gai

ab zindagi bhi jaan ka aazar ho gai

  • Share this

dil ke pardoñ meñ chhupāyā hai tire ishq raaz

ḳhalvat-e-dil meñ bhī pardā nazar aatā hai mujhe

dil ke pardon mein chhupaya hai tere ishq ka raaz

KHalwat-e-dil mein bhi parda nazar aata hai mujhe

ġham-e-mohabbat meñ dil ke dāġhoñ se rū-kash-e-lāla-zār huuñ maiñ

fazā bahārīñ hai jis ke jalvoñ se vo harīf-e-bahār huuñ maiñ

gham-e-mohabbat mein dil ke daghon se ru-kash-e-lala-zar hun main

faza bahaarin hai jis ke jalwon se wo harif-e-bahaar hun main

jins-e-hunar mazāq-e-ḳharīdār dekh kar

ḳhud be-niyāz chashm-e-ḳharīdār ho ga.ī

jins-e-hunar mazaq-e-KHaridar dekh kar

KHud be-niyaz chashm-e-KHaridar ho gai

  • Share this

uf vo nazar ki sab ke liye dil-navāz hai

merī taraf uThī to talvār ho ga.ī

uf wo nazar ki sab ke liye dil-nawaz hai

meri taraf uThi to talwar ho gai

  • Share this

BOOKS 77

RELATED Poets

More Poets From "Lahore"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now