Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Waseem Malik

Waseem Malik

Ghazal 4

 

Sher-o-Shayari 6

koī dastak koī aahaT na sadā hai koī

duur tak ruuh meñ phailā huā sannāTā hai

koi dastak koi aahaT na sada hai koi

dur tak ruh mein phaila hua sannaTa hai

shāḳh se kaT kar alag hone ham ko ġham nahīñ

phuul haiñ ḳhushbū luTā kar ḳhaak ho jā.eñge ham

shaKH se kaT kar alag hone ka hum ko gham nahin

phul hain KHushbu luTa kar KHak ho jaenge hum

lutf ye hai ki usī shaḳhs ke mamnūn haiñ ham

jis talvār ne qistoñ meñ hameñ kaaTā hai

lutf ye hai ki usi shaKHs ke mamnun hain hum

jis ki talwar ne qiston mein hamein kaTa hai

kal saath thā koī to dar o baam the raushan

tanhā huuñ 'vasīm' aaj to ghar kaaT rahā hai

kal sath tha koi to dar o baam the raushan

tanha hun 'wasim' aaj to ghar kaT raha hai

lagtā hai judā sab se kirdār 'vasīm' us

vo shahr-e-mohabbat bāshinda nazar aa.e

lagta hai juda sab se kirdar 'wasim' us ka

wo shahr-e-mohabbat ka bashinda nazar aae

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now