Roti khaane ke mutalliq eik mota sa usool hai ki har luqma achchi tarah chabaa kar khaao. Lu'aab dahan mein use khoob hal hone do taaki me'de par ziyaada bojh na pade aur iski ghizaaiyat barqaraar rahe. Padhne ke liye bhi yahi mota usool hai ki har lafz ko, har khayaal ko achchi tarah zahan mein chabaao. Us luaab ko jo padhne se tumhaare dimaagh mein paida hoga, achchi tarah hal karo taaki jo kuchh tumne padhaa hai, achchi tarah hazam ho sake. Agar tumne aisa na kiya to uske nataaij bure honge jiske liye tum likhne waale ko zimmedaar na thahra sakoge. Woh roti jo achchi tarah chabaa kar nahi khaai gayi tumhaari bad-hazmi ki zimmedaar kaise ho sakti hai?

Achchhe ustaad ke andar eik bachcha baitha hota hai jo haath utha-utha kar aur sar hila-hila kar bataata jaata ki baat samajh mein aayi ki nahi.

Jihaalat sirf usi surat mein door ho sakti hai jab daanish-gaahon ke sab darwaaze awaam par khol diye jaayenge.

बग़ैर किसी मक़सद के पढ़ना फ़ुज़ूल ही नहीं मुज़िर भी है। जिस क़दर हम बग़ैर किसी मक़सद के पढ़ते हैं उसी क़दर हम एक बा-मानी मुताला से दूर होते जाते हैं।