aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Quotes on Society

quote

Pahle Mazhab Seenon Mein Hota Tha, Aaj-kal Topiyon Mein Hota Hai. Siyaasat Bhi Ab Topiyon Mein Chali Aayi Hai. Zindaabaad Topiyaan.

Saadat Hasan Manto
quote

Duniya Mein Jitni Laantein Hain, Bhook Unki Maan Hai.

Zamaane Ke Jis Daur Se Hum Is Waqt Guzar Rahe Hain Agar Aap Isse Naawaaqif Hain To Mere Afsaane Paḍhiye. Agar Aap In Afsaanon Ko Bardaasht Nahi Kar Sakte To Iska Matlab Hai Ki Ye Zamaana Naaqaabil-e-bardaasht Hai... Mujh Mein Jo Buraaiyaan Hain, Wo Is Ahd Ki Buraaiyaan Hain... Mere Tahreer Mein Koi Naqs Nahi. Jis Naqs Ko Mere Naam Se Mansoob Kiya Jaata Hai, Dar-asl Maujooda Nizaam Ka Naqs Hai.

Bhook Kisi Qism Ki Bhi Ho, Bahut Khatarnaak Hai.

Vaisya Aur Ba-ismat Aurat Ka Muqaabla Hargiz-hargiz Nahi Karna Chahiye. In Dono Muqabla Ho Hi Nahi Sakta. Vaishya Khud Kamaati Hai Aur Ba-ismat Aurat Ke Paas Kamaa Kar Laane Waale Kaee Maujood Hote Hain.

Agar Eik Hi Baar Jhoot Na Bolne Aur Chori Na Karne Ki Talqeen Karne Par Saari Duniya Jhoot Aur Chori Se Parhez Karti To Shaayad Eik Hi Paighambar Kaafi Hota.

Har Aurat Vaishya Nahi Hoti Lekin Har Vaishya Aurat Hoti Hai, Is Baat Ko Hamesha Yaad Rakhna Chaahiye.

Zabaan Banaai Nahi Jaati, Khud Banti Hai Aur Na Insaani Koshishein Kisi Zabaan Ko Fanaa Kar Sakti Hain.

Society Ke Usoolon Ke Mutaabiq Mard Mard Rahta Hai, Khwaah Uski Kitaab-e-zindagi Ke Har Waraq Par Gunaahon Ki Siyaahi Lipi ho. Magar Woh Aurat Jo Sirf Eik Martaba Jawaani Ke Be-panaah Jazbe Ke Zer-e-asar Ya Kisi Laalach Mein Aakar Ya Kisi Mard Ki Zabardasti Ka Shikaar Ho Kar Eik Lamhe Ke Liye Apne Raaste Se Hat Jaaye, Aurat Nahi Rahti. Use Haqaarat-o-nafrat Ki Nigaahon Se Dekha Jaata Hai. Society Us Par Woh Tamaam Darwaaze Band Kar Deti Hai Jo Eik Siyaah-pesha Mard Ke Liye Khule Rahte Hain.

Agar Hum Saabun Aur Lavender Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Mauryon Aur Badruon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jo Hamaare Badan Ka Mail Peeti Hain. Agar Hum Mandiron Aur Masjidon Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Qahba-khaanon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jahaan Se Laut Kar Kaee Insaan Mandiron Aur Masjidon Ka Rukh Karte Hain... Hum Afyun, Charas, Bhang Aur Sharaab Ke Thekon Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Kothon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jahaan Har Qism Ka Nasha Istemaal Kiya Jaata Hai.

Yeh Log Jinhein Urf-e-aam Mein Leader Kahaa Jaata Hai, Siyaasat Aur Mazhab Ko Langda, Loolda Aur Zakhmi Aadmi Tasawwur Karte Hain.

Vaishya Paida Nahi Hoti, Banaai Jaati Hai. Ya Khud Banti Hai. Jis Cheez Ki Maang Hogi Mandi Mein Zaroor Aaegi. Mard Ki Nafsaani Khwaahishaat Ki Maang Aurat Hai. Khwaah Woh Kisi Shakl Mein Ho. Chunaanche Is Maang Ka Asar Ye Hai Ki Har Shahar Mein Koi Na Koi Chakla Maujood Hai. Agar Aaj Ye Maang Door Ho Jaaye To Ye Chakle Khud Ba Khud Ghaayab Ho Jaaenge.

Mujhe Naam-nihaad Communiston Se Badi Chid Hai. Woh Log Mujhe Bahut Khalte Hain Jo Narm-narm Sofon Par Baith Kar Daraanti Aur Hathaude Ki Zarbon Ki Baatein Karte Hain.

Mazhab Khud Eik Bahut Bada Mas'ala Hai, Agar Isme Lapet Kar Kisi Aur Mas'ale Ko Dekha Jaye To Hamein Bahut Hu Maghz-dardi Karni Paregi.

Vaishya Paida Nahi Hoti, Banaai Jaati Hai, Ya Khud Banti Hai.

Yaad Rakhiye Ghurbat Laanat Nahi Hai Jo Use Laanat Zaahir Karte Hain Woh Khud Mal'oon Hain. Woh Khud Us Ameer Se Do Laakh Darje Behtar Hai Jo Apne Kashti Khud Apne Haathon Se Kheta Hai...

सच्च बोल कर ज़लील-ओ-ख़्वार होने की जगह झूठ बोल कर ज़लील-ओ-ख़्वार होना बेहतर है। आदमी को कम-अज़-कम सब्र तो जाता है कि किस बात की सज़ा मिली है।

Mushtaq Ahmad Yusufi
quote

Main Tahzeeb-o-tamaddun Aur Society Ki Choli Kya Utaarunga Jo Hai Hi Nangi.

Main Tahzeeb-o-tamaddun Aur Society Ki Choli Kya Utaarunga Jo Hai Hi Nangi.

Saadat Hasan Manto
quote

Main Tahzeeb-o-tamaddun Aur Society Ki Choli Kya Utaarunga Jo Hai Hi Nangi... Main Use Kapde Pahnaane Ki Koshish Bhi Nahi Karta, Isliye Ki Yeh Mera Kaam Nahi, Darziyon Ka Hai. Log Mujhe Siyaah Qalam Kahte Hain, Main Takhta-e-siyaah Par Kaali Chaak Se Nahi Likhta, Safed Chaak Istemaal Karta Hoon Ki Takhta-e-siyaah Ki Siyaahi Aur Bhi Ziyaada Numaayaan Ho Jaaye. Yeh Mera Khaas Andaaz, Mera Khaas Tarz Hai Jise Fohsh-nigaari, Taraqqi-pasandi Aur Khuda Maloom Kya Kuch Kahaa Jaata Hai. Laanat Ho S'aadat Hasan Manto Par, Kambakht Ko Gaali Bhi Saleeqe Se Nahi Di Jaati.

Vaishya Ka Wajood Khud Eik Janaaza HAi Jo Samaaj Khud Apne Kandhon Par Uthaae Hue Hai. Woh Use Jab Tak Kaheen Dafn Nahi Karega, Uske Mutalliq Baatein Hoti Rahengi.

Main To Baaz-auqaat Aisa Mahsoos Karta Hoon Ki Hukoomat Aur Ri'aaya Ka Rishta Roothe Khaawand Aur Biwi Ka Rishta Hai.

Gadaa-gari Qaanoonan Band Kar Di Jaati Hai, Magar Woh Asbaab-o-elal Door Karne Ki Koshish Nahi Ki Jati Jo Insaan Ko Is Fe'al Par Majboor Karte Hain. Aurton Ko Sar-e-baazaar Jism-faroshi Ke Kaarobaar Se Roka Jaata Hai Magar Uske Muharrekaat Ke Isteesaal Ki Taraf Koi Tawajjoh Nahi Deta.

Maujuda Nizaam Ke Tahat Jiski Baag-dor Sirf Mardon Ke Haath Mein Hai, Aurat Khwaah Woh Ismat-farosh Ho Ya Ba-ismat, Hamesha Dabi Rahi Hai. Mard Ko Maujooda Akhtiyaar Hoga Ki Woh Uske Mutalliq Jo Chaahe Raae Qayam Kare.

इस ज़माने में सौ फ़ी सद सच्च बोल कर ज़िंदगी करना ऐसा ही है जैसे बज्री मिलाए बग़ैर सिर्फ सिमेंट से मकान बनाना।

Mushtaq Ahmad Yusufi
quote

Chakki Peesne Waali Aurat Jo Din Bhar Kaam Karti Hai Aur Raat Ko Itmeenaan Se So Jaati Hai, Mere Afsaanon Ki Heroin Nahi Ho Sakti. Meri Heroin Chakle Ki Eik Takhyaai Randi Ho Sakti Hai Jo Raat Ko Jaagti Hai Aur Din Ko Sote Mein Kabhi-kabhi Daraawna Khwaab Dekh Kar Uth Baithti Hai Ki Budhaapa Uske Darwaaze Par Dastak Dene Aa Raha Hai... Uske Bhaari-bhaari Papote Jin Par Barson Ki Uchti Hui Nindein Munjamid Ho Gayi Hain, Mere Afsaanon Ka Mauzoo Ban Sakte Hain. Uski Ghalaazat, Uski Bimaariyaan, Uska Chidchidaapan, Uski Gaaliyaan Yeh Sab Mujhe Bhaati Hain... Main Unke Mutalliq Likhta Hun Aur Ghareloo Aurton Ki Shusta Kalaamiyon, Unki Sehat Aur Unki Sehat Aur Unki Nafaasat-pasandi Ko Nazar-andaaz Kar Jaata Hoon.

मिडिल क्लास ग़रीबी की सबसे क़ाबिल-ए-रहम और ला-इलाज क़िस्म वो है जिसमें आदमी के पास कुछ हो लेकिन उसे किसी चीज़ की कमी महसूस हो।

Mushtaq Ahmad Yusufi
quote

Mera Khayaal Hai Ki Koi Bhi Cheez Fohsh Nahi, Lekin Ghar Ki Kursi Aur Haandi Bhi Fohsh Ho Sakti Hai Agar Unko Fohsh Tareeqe Par Pesh Kiyaa Jaaye.

Mera Khayaal Hai Ki Koi Bhi Cheez Fohsh Nahi, Lekin Ghar Ki Kursi Aur Haandi Bhi Fohsh Ho Sakti Hai Agar Unko Fohsh Tareeqe Par Pesh Kiyaa Jaaye.

Saadat Hasan Manto
quote

Mere Afsaane Tandurust Aur Sehat-mand Logon Ke Liye Hain. Normal Insaanon Ke Liye, Jo Aurat Ke Seene Ko Aurat Ka Seena Hi Samajhte Hain Aur Isse Ziyaada Aage Nahi Badhte.

Ismat-farosh Aurat Eik Zamaane Se Duniya Ki Sabse Zaleel Hasti Samjhi Jati Hai. Magar Kya Humne Ghaur Kiya Hai Ki Hum Mein Se Aksar Aisi Zaleel-o-khwaar Hastiyon Ke Dar Par Thokarein Khaate Hain, Kya Hamaare Dil Mein Ye Khayaal Paida Nahi Hota Ki Hum Bhi Zaleel Hain?

Vaishya Ko Sirf Baahar Se Dekha Jaata Hai. Iske Rang-Roop, Uski Bhadkeeli Poshaak, Aaraaish-o-zebaaish Dekh Kar Yahi Nateeja Nikaala Jaata Hai Ki Woh Khushhaal Hai. Lekin Ye Durust Nahi.

Jis Tarah Ba-ismat Aurtein Vaishyaon Ki Taraf Hairat Aur Tajjub Se Dekhti Hain, Theek Usi Tarah Woh Bhi Unki Taraf Usi Nazar Se Dekhti Hain.

Chor Uchakke Rahzan Aur Vaishyaaen Baghair Sharaab Ke Zinda Nahi Rah Saktin.

Jihaalat Sirf Usi Surat Mein Door Ho Sakti Hai Jab Daanish-gaahon Ke Sab Darwaaze Awaam Par Khol Diye Jaayenge.

Istibdaad Ki Aandhiyaan Timtimaate Chiraaghon Ko Gul Kar Sakti Hain Magar Inqilaab Ke Sholon Par Unka Koi Bas Nahi Chalta.

Jismaani Hissiyaat Se Muta'alliq Chezein Ziyada Der-pa Nahi Hotin, Magar Jin Cheezon Ka Ta'alluq Rooh Se Hota Hai, Der Tak Qayam Rahti Hain.

Jis Tarah Ghar Ke Naukar Jhatpat Apne Aaqaon Ke Bistar Laga Kar Apne Aaraam Ka Khayaal Karte Hain. Theek Usi Tarah Vaishya Bhi Apne Graahankon Ko Nimta Kar Apni Khushi Aur Raahat Ki Taraf Palat Aati Hai.

Jab Tak Samaaj Apne Qawaaneen Par Az Sa-e-nau Ghaur Na Karega Wo "Najaasat" Door Na Hogi Jo Tahzeeb-o-tamaddun Ke Is Zamaane Mein Har Shahar Aur Har Basti Ke Andar Maujood Hai.

ताअन-ओ-तशनीअ से अगर दूसरों की इस्लाह हो जाती तो बारूद ईजाद करने की ज़रूरत पेश आती।

Mushtaq Ahmad Yusufi
quote

Bazari Aurtein Samaaj Ki Paidaawaar Hain Aur Samaaj Ke Waza-karda Qawaaneen Ki Khaad Unki Parwarish Karti Hai. Agar Unko Achcha Banana Darkaar Hai To Saare Jism Ke Nizaam Ko Durust Karne Ki Zaroorat Hai. Jab Tak Samaaj Apne Qawaaneen Par Az Sar-e-nau Ghaur Na Karega, Woh "Najaasat" Door Na Hogi Jo Tahzeeb-o-tamaddun Ke Har Shahr Aur Har Basti Ke Andar Maujood Hai?

Agar Vaishya Ka Zikr Fosh Hai To Uska Wajood Bhi Fohsh Hai. Agar Uska Zikr Mamnoo Hai To Uska Pesha Bhi Mamnoo Hona Chahiye. Uska Zikr Khud Ba-khud Mit Jaayega.

Mera Khayaal Hai Ki Koi Bhi Cheez Fohsh Nahi, Lekin Ghar Ki Kursi Aur Haandi Bhi Fohsh Ho Sakti Hai Agar Unko Fohsh Tareeqe Par Pesh Kiyaa Jaaye, Cheezein Fohsh Banaayi Jaati Hain, Kisi Khaas Gharaz Ke Ma-tahat. Aurat Aur Mard Ka Rishta Fohsh Nahi, Uska Zikr Bhi Fohsh Nahi, Lekin Jab Is Rishte Ko Chauraasi Aasanon Ya Zordaar Khufiyaa Tasveeron Mein Tabdeel Kar Diya Jaaye To Main Is Fe'al Ko Sirf Fohsh Hi Nahi Balki Nihaayat Ghinaawna, Makrooh Aur Ghair Sehat-mand Kahunga.

Art Khwaah Woh Tasveer Ki Soorat Mein Ho Ya Mujasseme Ki Shakl Mein. Society Ke Liye Qataee Taur Par Eik Peshkash Hai.

Jab Tak Aurton Aur Mardon Ke Jazbaat Ke Darmiyaan Eik Moti Deewaar Haael Rahegi, Ismat Chughtaaee Uske Choone Ko Apne Tez Nakhoonon Se Kuredti Rahegi, Jab Tak Kashmeer Ke Haseen Dehaaton Mein Shahron Ki Gandagi Phaili Rahegi, Ghareeb Krishna-chandra Haule-haule Rota Rahega. Jab Tak Insaanon Mein Aur Khaas Taur Par S'aadat Hasan Manto Mein Kamzoriyaan Maujood Hain, Woh Khurd-been Se Dekh-dekh kar Baahar Nikaalta Aur Doosron Ko Dikhaata Rahega.

Vaishya Iraadatan Ya Kisi Intiqaami Jazbe Ke Zer-e-asar Mardon Ke Maal-o-zar Par Haath Nahi Ḍaalti. Woh Sauda Karti Hai Aur Kamaati Hai.

Jab Tak Insaanon Mein Aur Khaas Taur Par S'aadat Hasan Manto Mein Kamzoriyaan Maujood Hain, Woh Khurd-been Se Dekh Kar Baahar Nikaalta Aur Doosron Ko Dikhaata Rahega.

Besavaaen Ab Se Nahi Hazaaraha Saal Se Hamaare Darmiyaan Maujood Hain. Unka Tazkira Ilhaami Kitaabon Mein Bhi Maujood Hai. Ab Chunki Kisi Ilhaami Kitaab Ya Kisi Paighambar Ki Gunjaish Nahi Rahi, Isliye Maujooda Zamaane Mein Unka Zikr Aap Aayaat Mein Nahi Balki Un Akhbaaron, Kitaabon Ya Risaalon Mein Dekhte Hain Jinhein Aap Ood Aur Lobaan Jalaaye Baghair Padh Sakte Hain Aur Paḍhne Ke Baad Raddi Mein Bhi Uṭhwa Sakte Hain.

Hamaare Afsaana-nigaaron Ki Sabse Mazhaka-khez Takhleeq Villain Hai. Jiski Saari Umr Gunaah Mein Basar Karaai Jaati Hai Aur Aakhir Mein Use Neki Ke Samundar Mein Ghota De Diya Jata Hai.

Kaun Nahi Jaanta Ki Randi Ke Koṭhe Par Maan-baap Apni Aulaad Se Pesha Karaate Hain Aur Maqbaron Aur Takiyon Mein Insaan Apne Khuda Se.

तवाइफ़ीयत का मस'अला तवाइफ़ों को गाली देने से हल ना होगा बल्कि औरतों को त'अ्लीम देने से, औरतों की भूक मिटाने से, औरतों पर दुनिया के दरवाज़े खोलने से हल होगा। जब तक ये काम हुकूमत नहीं करेगी तवाइफ़ें क़ायम रहेंगी।

Mahender Nath
quote

औरत एक कठ-पुतली है जिसकी डोर समाज के कोढ़ी हाथों में है और उन कोढ़ी हाथों में जब चुल होने लगती है तो डोर के झटकों से ये कठ-पुत्ली नचाई जाती है।

Hajra Masroor

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now