Jis Tarah Ba-ismat Aurtein Vaishyaon Ki Taraf Hairat Aur Tajjub Se Dekhti Hain, Theek Usi Tarah Woh Bhi Unki Taraf Usi Nazar Se Dekhti Hain.

Main Tahzeeb-o-tamaddun Aur Society Ki Choli Kya Utaarunga Jo Hai Hi Nangi... Main Use Kapde Pahnaane Ki Koshish Bhi Nahi Karta, Isliye Ki Yeh Mera Kaam Nahi, Darziyon Ka Hai. Log Mujhe Siyaah Qalam Kahte Hain, Main Takhta-e-siyaah Par Kaali Chaak Se Nahi Likhta, Safed Chaak Istemaal Karta Hoon Ki Takhta-e-siyaah Ki Siyaahi Aur Bhi Ziyaada Numaayaan Ho Jaaye. Yeh Mera Khaas Andaaz, Mera Khaas Tarz Hai Jise Fohsh-nigaari, Taraqqi-pasandi Aur Khuda Maloom Kya Kuch Kahaa Jaata Hai. Laanat Ho S'aadat Hasan Manto Par, Kambakht Ko Gaali Bhi Saleeqe Se Nahi Di Jaati.

Eik Ba-ismat Aurat Ke Seene Mein Mohabbat Se Aari Dil Ho Sakta Hai Aur Iske Bar-aks Chakle Ki Eik Adna-tareen Vaishya Mohabbat Se Bharpoor Dil Ki Maalik Ho Sakti Hai.

Har Aurat Vaishya Nahi Hoti Lekin Har Vaishya Aurat Hoti Hai, Is Baat Ko Hamesha Yaad Rakhna Chaahiye.

Zamaane Ke Jis Daur Se Hum Is Waqt Guzar Rahe Hain Agar Aap Isse Naawaaqif Hain To Mere Afsaane Paḍhiye. Agar Aap In Afsaanon Ko Bardaasht Nahi Kar Sakte To Iska Matlab Hai Ki Ye Zamaana Naaqaabil-e-bardaasht Hai... Mujh Mein Jo Buraaiyaan Hain, Wo Is Ahd Ki Buraaiyaan Hain... Mere Tahreer Mein Koi Naqs Nahi. Jis Naqs Ko Mere Naam Se Mansoob Kiya Jaata Hai, Dar-asl Maujooda Nizaam Ka Naqs Hai.

-
Tags : Literatureand 1 more
Aap Shahar Mein Khubsurat Aur Nafees Gadiyaan Dekhte Hain... Ye Khubsurat Aur Nafees Gadiyaan Kooda-karkat Uthane Ke Kaam Nahi Aa Saktin. Gandagi Aur Ghalaazat Utha Kar Bahar Phenkne Ke Liye Aur Gadiyaan Maujood Hain Jinhein Aap Kam Dekhte Hain Aur Agar Dekhte Hain To Fauran Apni Naak Par Rumaal Rakh Lete Hain... In Gadiyon Ka Wujood Zaroori Hai Aur Un Aurton Ka Wujood Bhi Zaroori Hai Jo Ghalaazat Uthaati Hain. Agar Ye Aurtein Na Hotin To Hamaare Sab Gali-kooche Mardon Ki Ghaleez Harakaat Se Bhare Hote.

Vaishya Ka Wajood Khud Eik Janaaza HAi Jo Samaaj Khud Apne Kandhon Par Uthaae Hue Hai. Woh Use Jab Tak Kaheen Dafn Nahi Karega, Uske Mutalliq Baatein Hoti Rahengi.

Agar Vaishya Ka Zikr Fosh Hai To Uska Wajood Bhi Fohsh Hai. Agar Uska Zikr Mamnoo Hai To Uska Pesha Bhi Mamnoo Hona Chahiye. Uska Zikr Khud Ba-khud Mit Jaayega.

Main Tahzeeb-o-tamaddun Aur Society Ki Choli Kya Utaarunga Jo Hai Hi Nangi.
Main Tahzeeb-o-tamaddun Aur Society Ki Choli Kya Utaarunga Jo Hai Hi Nangi.
-
Tags : Literatureand 1 more
Vaishyaon Ke Ishq Mein Eik Khaas Baat Qaabil-e-zikr Hai. Unka Ishq Unke Roz-marra Ke Maamool Par Bahut Kam Asar Daalta Hai.

Vaishya Apne Taareek Tijaarat Ke Baawajood Raushan Rooh Ki Maalik Ho Sakti Hai.

Vaishya Paida Nahi Hoti, Banaai Jaati Hai, Ya Khud Banti Hai.

Actress Chakle Ki Waishya Ho Ya Kisi Ba-izzat Aur Shareef Gharaane Ki Aurat, Meri Nazron Mein Wo Sirf Actress Hai. Uski Sharaafat Ya Razaalat Se Mujhe Koi Sar-o-kaar Nahi. Isliye Ki Fun In Zaati Umoor Se Bahut Baala-tar Hai.

Vaisya Aur Ba-ismat Aurat Ka Muqaabla Hargiz-hargiz Nahi Karna Chahiye. In Dono Muqabla Ho Hi Nahi Sakta. Vaishya Khud Kamaati Hai Aur Ba-ismat Aurat Ke Paas Kamaa Kar Laane Waale Kaee Maujood Hote Hain.

Bazari Aurtein Samaaj Ki Paidaawaar Hain Aur Samaaj Ke Waza-karda Qawaaneen Ki Khaad Unki Parwarish Karti Hai. Agar Unko Achcha Banana Darkaar Hai To Saare Jism Ke Nizaam Ko Durust Karne Ki Zaroorat Hai. Jab Tak Samaaj Apne Qawaaneen Par Az Sar-e-nau Ghaur Na Karega, Woh "Najaasat" Door Na Hogi Jo Tahzeeb-o-tamaddun Ke Har Shahr Aur Har Basti Ke Andar Maujood Hai?

Chor Uchakke Rahzan Aur Vaishyaaen Baghair Sharaab Ke Zinda Nahi Rah Saktin.

Vaishya Iraadatan Ya Kisi Intiqaami Jazbe Ke Zer-e-asar Mardon Ke Maal-o-zar Par Haath Nahi Ḍaalti. Woh Sauda Karti Hai Aur Kamaati Hai.

Jis Tarah Ghar Ke Naukar Jhatpat Apne Aaqaon Ke Bistar Laga Kar Apne Aaraam Ka Khayaal Karte Hain. Theek Usi Tarah Vaishya Bhi Apne Graahankon Ko Nimta Kar Apni Khushi Aur Raahat Ki Taraf Palat Aati Hai.

Baghaavat-e-France Mein Pahli Goli Paris Ki Eik Vaishya Ne Apne Seene Par Khaai Thi. Amritsar Mein Jaliyaanwaala Baagh Ke Khooni Haadse Ki Ibtida Us Naujawaan Ke Khoon Se Hui Thi Jo Eik Vaishya Ke Batn Se Tha.

Tags : Jallianwala Baghand 1 more
Chakki Peesne Waali Aurat Jo Din Bhar Kaam Karti Hai Aur Raat Ko Itmeenaan Se So Jaati Hai, Mere Afsaanon Ki Heroin Nahi Ho Sakti. Meri Heroin Chakle Ki Eik Takhyaai Randi Ho Sakti Hai Jo Raat Ko Jaagti Hai Aur Din Ko Sote Mein Kabhi-kabhi Daraawna Khwaab Dekh Kar Uth Baithti Hai Ki Budhaapa Uske Darwaaze Par Dastak Dene Aa Raha Hai... Uske Bhaari-bhaari Papote Jin Par Barson Ki Uchti Hui Nindein Munjamid Ho Gayi Hain, Mere Afsaanon Ka Mauzoo Ban Sakte Hain. Uski Ghalaazat, Uski Bimaariyaan, Uska Chidchidaapan, Uski Gaaliyaan Yeh Sab Mujhe Bhaati Hain... Main Unke Mutalliq Likhta Hun Aur Ghareloo Aurton Ki Shusta Kalaamiyon, Unki Sehat Aur Unki Sehat Aur Unki Nafaasat-pasandi Ko Nazar-andaaz Kar Jaata Hoon.

Jab Tak Samaaj Apne Qawaaneen Par Az Sa-e-nau Ghaur Na Karega Wo "Najaasat" Door Na Hogi Jo Tahzeeb-o-tamaddun Ke Is Zamaane Mein Har Shahar Aur Har Basti Ke Andar Maujood Hai.

Vaishya Paida Nahi Hoti, Banaai Jaati Hai. Ya Khud Banti Hai. Jis Cheez Ki Maang Hogi Mandi Mein Zaroor Aaegi. Mard Ki Nafsaani Khwaahishaat Ki Maang Aurat Hai. Khwaah Woh Kisi Shakl Mein Ho. Chunaanche Is Maang Ka Asar Ye Hai Ki Har Shahar Mein Koi Na Koi Chakla Maujood Hai. Agar Aaj Ye Maang Door Ho Jaaye To Ye Chakle Khud Ba Khud Ghaayab Ho Jaaenge.

Besavaaen Ab Se Nahi Hazaaraha Saal Se Hamaare Darmiyaan Maujood Hain. Unka Tazkira Ilhaami Kitaabon Mein Bhi Maujood Hai. Ab Chunki Kisi Ilhaami Kitaab Ya Kisi Paighambar Ki Gunjaish Nahi Rahi, Isliye Maujooda Zamaane Mein Unka Zikr Aap Aayaat Mein Nahi Balki Un Akhbaaron, Kitaabon Ya Risaalon Mein Dekhte Hain Jinhein Aap Ood Aur Lobaan Jalaaye Baghair Padh Sakte Hain Aur Paḍhne Ke Baad Raddi Mein Bhi Uṭhwa Sakte Hain.

Jis Aurat Ke Darwaaze Shahar Ke Har Us Shaksh Ke Liye Khule Hain Jo Apni Jebon Mein Chaandi Ke Chand Sikke Rakhta Ho. Khwaah Woh Mochi Ho Ya Bhangi, Langda Ho Ya Loola, Khubsoorat Ho Ya Karihatul Manzar, Uski Zindagi Ka Andaaza Ba-khoobi Lagaya Ja Sakta Hai.

Gadaa-gari Qaanoonan Band Kar Di Jaati Hai, Magar Woh Asbaab-o-elal Door Karne Ki Koshish Nahi Ki Jati Jo Insaan Ko Is Fe'al Par Majboor Karte Hain. Aurton Ko Sar-e-baazaar Jism-faroshi Ke Kaarobaar Se Roka Jaata Hai Magar Uske Muharrekaat Ke Isteesaal Ki Taraf Koi Tawajjoh Nahi Deta.

Tags : Sexual Desireand 1 more
Vaishya Ya Tawaaef Apne Tijaarato Usoolon Ke Ma-tahat Har Mard Se Jo Uske Paas Gaahak Ke Taur Par Aata Hai, Ziyaada Se Ziyaada Nafaa Haasil Karne Ki Koshish Karegi. Agar Wo Munaasib Daamon Par Ya Hairat-Angez Qeemat Par Apna Maal Bechti Hai To Ye Uska Pesha Hai. Baniya Bhi To Sauda Tolte Waqt Dandi Maar Jaata Hai. Baaz Dukaanein Ziyaada Qeemat Par Apna Maal Bechti Hain Baaz Kam Qeemat Par.

Taajjub To Is Baat Ka Hai Ki Jab Sadiyon Se Hum Ye Sun Rahe Hain Ki Vaishya Ka Dasa Hua Paani Nahi Mangta To Hum Kyun Apne Aapko Isse Daswaate Hain Aur Phir Kyun Khud Hi Rona Peetna Shuroo Kar Dete Hain. Vaishya Iraadatan Ya Kisi Intiqaami Jazbe Ke Zer-e-asar Mardon Ke Maal-o-zar Par Haath Nahi Ḍaalti. Woh Sauda Karti Hai Aur Kamaati Hai.

Agar Hum Saabun Aur Lavender Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Mauryon Aur Badruon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jo Hamaare Badan Ka Mail Peeti Hain. Agar Hum Mandiron Aur Masjidon Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Qahba-khaanon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jahaan Se Laut Kar Kaee Insaan Mandiron Aur Masjidon Ka Rukh Karte Hain... Hum Afyun, Charas, Bhang Aur Sharaab Ke Thekon Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Kothon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jahaan Har Qism Ka Nasha Istemaal Kiya Jaata Hai.

तवाइफ़ीयत का मस'अला तवाइफ़ों को गाली देने से हल ना होगा बल्कि औरतों को त'अ्लीम देने से, औरतों की भूक मिटाने से, औरतों पर दुनिया के दरवाज़े खोलने से हल होगा। जब तक ये काम हुकूमत नहीं करेगी तवाइफ़ें क़ायम रहेंगी।
Vaishya Sirf Usi Mard Par Apne Dil Ke Tamaam Darwaaze Kholegi, Jisse Use Mohabbat Ho. Har Aane Jaane Wale Mard Ke Liye Woh Aisa Nahi Kar Sakti.

Vaishya Ko Sirf Baahar Se Dekha Jaata Hai. Iske Rang-Roop, Uski Bhadkeeli Poshaak, Aaraaish-o-zebaaish Dekh Kar Yahi Nateeja Nikaala Jaata Hai Ki Woh Khushhaal Hai. Lekin Ye Durust Nahi.

Ismat-farosh Aurat Eik Zamaane Se Duniya Ki Sabse Zaleel Hasti Samjhi Jati Hai. Magar Kya Humne Ghaur Kiya Hai Ki Hum Mein Se Aksar Aisi Zaleel-o-khwaar Hastiyon Ke Dar Par Thokarein Khaate Hain, Kya Hamaare Dil Mein Ye Khayaal Paida Nahi Hota Ki Hum Bhi Zaleel Hain?