Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Quotes on Life

quote

Har dukh, har 'azaab ke baad zindagi aadmi par apna eik raaz khol deti hai.

Mushtaq Ahmad Yusufi
quote

Jis aurat ke darwaaze shahar ke har us shaksh ke liye khule hain jo apni jebon mein chaandi ke chand sikke rakhta ho. Khwaah woh mochi ho ya bhangi, langda ho ya loola, khubsoorat ho ya karihatul manzar, uski zindagi ka andaaza ba-khoobi lagaya ja sakta hai.

Saadat Hasan Manto
quote

Vaishyaon ke ishq mein eik khaas baat qaabil-e-zikr hai. Unka ishq unke roz-marra ke maamool par bahut kam asar daalta hai.

Yeh kaayenaat behad haseen hai magar unke liye jo jeena jaante hain.

Musharraf Alam Zauqi
quote

Aaye din duniya aur zindagi ke jhamele humein apne mein aisa uljhaate hain ki hamaare dilon par eik thakan buri tarah qaabu pa leti hai. Humein koi baat bhali nahin maloom hoti. Hum apne kathin halaat se panpne ke qabil nahin rehte. Aise mein geet hi hain jo humein in bandhanon se chhudaate hain aur taaza dam karke phir se duniya aur zindagi ke jhamelon ke muqaable unhein jeet lene ko la khada karte hain.

Meeraji
quote

Actress banne se peshtar aurat ko ishq-o-mohabbat ki talkhiyon aur mithas ke alaawa aur bahut see cheezon se aashna hona chahiye. Isliye ki jab woh kaimre ke saamne aaye to apne carrector ko acchhi tarah adaa kar sake.

Jo darwaaze m'aashi kashmakash ne eik dafa khol diye hon, bahut mushkil se band kiye ja sakte hain.

Urdu zabaan-o-adab ne mujhe jeene ka saleeqa sikhaaya hai.

Urdu zabaan-o-adab ne mujhe jeene ka saleeqa sikhaaya hai.

Musharraf Alam Zauqi
quote

Main woh shakhs hoon jisne apni zindagi ka har din adab ki aaghosh mein guzaara hai.

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now