Jab duniya premee aur peetam ko milne nahi deti to dil ka saaz tadap uthta hai aur qudrat geet banaati hai.

Aaye din duniya aur zindagi ke jhamele humein apne mein aisa uljhaate hain ki hamaare dilon par eik thakan buri tarah qaabu pa leti hai. Humein koi baat bhali nahin maloom hoti. Hum apne kathin halaat se panpne ke qabil nahin rehte. Aise mein geet hi hain jo humein in bandhanon se chhudaate hain aur taaza dam karke phir se duniya aur zindagi ke jhamelon ke muqaable unhein jeet lene ko la khada karte hain.

Sabse pahle aawaaz bani, aawaaz ke utaar chadhaav se sur bane, suron ke sanjog se bol ne janam liya aur phir raag ki dori mein bandh kar bol geet ban gaye.

Geet hi to hamaari zindagi ka ras hain. Jaise dharti par saawan aata hai, hamaari zindagi par bhi chaar din ke liye basant raat ki bahaar chha jaati hai, koi manmohni soorat man ko bha jaati hai. Jab duniya premee aur peetam ko milne nahin deti to dil ka saaz tadap uthta hai aur qudrat geet banaati hai.