jaada-e-hasrat
ik jangal me.n do hii raaste jaate the
mai.n ek musaafir dono.n par kaise chaltaa
us raste ko takaa kiyaa
jahaa.n se rasta
niiche kii jaanib jaataa thaa
phir mai.n duusre raste par chal niklaa
vo bhii utnaa hii achchhaa thaa
balki shaayad us se behtar
is raste par ghaas ugii thii
garche itnii taaza nahii.n thii
us raste kii ghaas to logo.n ke chalne se
kuchh ziyaada murjhaa sii ga.ii thii
is sub.h to dono.n rasto.n par
kuchh patte gire hu.e the
aur patto.n ko
kisii ke qadmo.n ne
ab tak rau.ndaa bhii nahii.n thaa
mai.n ne sochaa
us raste par agle din mai.n jaa.uu.ngaa
garche ye bhii jaantaa thaa
ki raste kaise aage ba.Dhte jaate hai.n
aur vaapas aana kitnaa mushkil hotaa hai
mai.n ye qissa jug biite par
kabhii kahii.n dohraa.uu.ngaa
mai.n apnii sard aaho.n me.n
qissa ye dohraa.uu.ngaa
ik jangal me.n do raste jaate the aur
mai.n ne vo rasta apnaayaa
jis par kam hii log ga.e the
aur isii se saaraa farq pa.Daa hai
is jiine me.n
ik jangal me.n do hii raaste jaate the
mai.n ek musaafir dono.n par kaise chaltaa
us raste ko takaa kiyaa
jahaa.n se rasta
niiche kii jaanib jaataa thaa
phir mai.n duusre raste par chal niklaa
vo bhii utnaa hii achchhaa thaa
balki shaayad us se behtar
is raste par ghaas ugii thii
garche itnii taaza nahii.n thii
us raste kii ghaas to logo.n ke chalne se
kuchh ziyaada murjhaa sii ga.ii thii
is sub.h to dono.n rasto.n par
kuchh patte gire hu.e the
aur patto.n ko
kisii ke qadmo.n ne
ab tak rau.ndaa bhii nahii.n thaa
mai.n ne sochaa
us raste par agle din mai.n jaa.uu.ngaa
garche ye bhii jaantaa thaa
ki raste kaise aage ba.Dhte jaate hai.n
aur vaapas aana kitnaa mushkil hotaa hai
mai.n ye qissa jug biite par
kabhii kahii.n dohraa.uu.ngaa
mai.n apnii sard aaho.n me.n
qissa ye dohraa.uu.ngaa
ik jangal me.n do raste jaate the aur
mai.n ne vo rasta apnaayaa
jis par kam hii log ga.e the
aur isii se saaraa farq pa.Daa hai
is jiine me.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.