aksar koī aa kar pūchhtā hai
kis or ye ThanDā parbat hai
kis raah pahuñchte haiñ raahī
is parbat kī koī raah nahīñ
garmī ke dinoñ meñ bhī is kī
kabhī barf pighaltī nahīñ dekhī
bas abr kā saaya rahtā hai
yā kohrā chhāyā rahtā hai
tum pūchhoge phir maiñ kaise
is koh pe aan basā logo
mirā man hai bhalā tum sā logo
tum log agar mujh se hote
mire paas yahāñ rahte hote
mire paas is ThanDe parbat par
aksar koi aa kar puchhta hai
kis or ye ThanDa parbat hai
kis rah pahunchte hain rahi
is parbat ki koi rah nahin
garmi ke dinon mein bhi is ki
kabhi barf pighalti nahin dekhi
bas abr ka saya rahta hai
ya kohra chhaya rahta hai
tum puchhoge phir main kaise
is koh pe aan basa logo
mera man hai bhala tum sa logo
tum log agar mujh se hote
mere pas yahan rahte hote
mere pas is ThanDe parbat par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.