khile hai.n phuul pe.Do.n par
mai.n un ke paas baiThaa huu.n
liye miinaa ko pahluu me.n
akele baada-noshii kar rahaa huu.n mai.n
kahaa.n hai.n mere saathii haa.n kahaa.n hai.n sab mire saathii
vo lo mahtaab mujh ko dekhtaa hai aasmaano.n se
daraKHshaanii ko is kii dekh kar mai.n ne uThaayaa haath me.n saaGar
pukaar uThThaa
ye dekho aage aage mere larzaa.n hai miraa saaya
nahii.n ham tiin hai.n ham tiin hai.n tanhaa nahii.n huu.n mai.n
agarche maah-e-raKHshaa.n baada-noshii kar nahii.n saktaa
mire har tarf saaya bhii miraa bas raqs kartaa hai
magar ham aaj sab saathii hai.n tiino.n tiino.n saathii hai.n
sharaabii maah-e-raKHshaa.n aur miraa saaya
mai.n gaataa huu.n mai-e-vahshii fazaa.o.n me.n KHiraamaa.n hai
mai.n raqsaa.n huu.n miraa saaya bhii har-suu la.Dkha.Daataa hai
abhii bedaar hai.n ham aa.o mahv-e-‘aish ho jaa.e.n
bas ik miiThii sii madhoshii me.n hii is darja quvvat hai
ki vo ham ko judaa kar de
chalo ham aaj ik is qism kaa 'ahd-e-vafaa baa.ndhe.n
ki ye insaan jo faanii hai.n is ko jaan sakte hii nahii.n hargiz
ham aksar is jagah aa kar mile.nge shaam ke nam-daar lamho.n me.n
khulii phailii hu.ii bhiigii hu.ii rangii.n fazaa.o.n me.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.