duniyaa ke log jo haan-shaan ko dekhte hai.n
duniyā ke log jo hān-shān ko dekhte haiñ
ye kahte haiñ ye shaḳhs koī dīvāna hai
is shaḳhs ke uupar naam ko ruup sarūp nahīñ
tan Dhakne ko bas chīthaḌoñ kā ik baanā hai
jo ham kahte haiñ is kī samajh meñ nahīñ aatā
jo ye kahtā hai ham se nahīñ samjhā jaatā
tum log ki din bhar gasht lagāte rahte ho
kisī roz jo ḳhud hī hān-shān ko aa dekho
duniya ke log jo han-shan ko dekhte hain
ye kahte hain ye shaKHs koi diwana hai
is shaKHs ke upar nam ko rup sarup nahin
tan Dhakne ko bas chithaDon ka ek bana hai
jo hum kahte hain is ki samajh mein nahin aata
jo ye kahta hai hum se nahin samjha jata
tum log ki din bhar gasht lagate rahte ho
kisi roz jo KHud hi han-shan ko aa dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.