maiñ ThanDe parbat kā raahī
is raah kā kaTnā sahl nahīñ
ye vaadī kitnī lambī hai
ye rasta kitnā chatiyal hai
ye nadī kitnī chauḌī hai
ye jhāḌiyāñ uljhī uljhī haiñ
yahāñ bārish ho yā sūkhā ho
yahāñ kaa.ī pe paañv phislegā
yahāñ pavan chale yā band rahe
ye chiiḌ hamesha chīḳheñge
phir kaun bhalā chal kar aa.e
mire saath is parbat par baiThe
ārām ko tyaag ke sādhū ban
sab chhoḌ ke duniyā ke bandhan
main ThanDe parbat ka rahi
is rah ka kaTna sahl nahin
ye wadi kitni lambi hai
ye rasta kitna chatiyal hai
ye nadi kitni chauDi hai
ye jhaDiyan uljhi uljhi hain
yahan barish ho ya sukha ho
yahan kai pe panw phislega
yahan pawan chale ya band rahe
ye chiD hamesha chiKHenge
phir kaun bhala chal kar aae
mere sath is parbat par baiThe
aaram ko tyag ke sadhu ban
sab chhoD ke duniya ke bandhan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.