tum logo.n ne mujh ko chho.D diyaa
tum logoñ ne mujh ko chhoḌ diyā
ai 'aql ke putlo ai syāno
aur tum se maiñ aap hī duur rahā
ai pāgalo mūrkho dīvāno
maiñ syānā nahīñ dīvāna nahīñ
mujhe paas tumhāre aanā nahīñ
jab raat utartī hai jag meñ
maiñ chāñd ko giit sunātā huuñ
aur sub.h ko chiTTe bādaloñ kī
sangat meñ nrit dikhātā huuñ
ye baat to mujh se nā hogī
hāthoñ ko bāñdhe hoñT siye
baiThā rahūñ aur din biit chukeñ
mire baal hoñ kaale se dhaule
ai 'aql ke putlo ai syāno
ai pāgalo mūrkho dīvāno
tum logon ne mujh ko chhoD diya
ai 'aql ke putlo ai syano
aur tum se main aap hi dur raha
ai pagalo murkho diwano
main syana nahin diwana nahin
mujhe pas tumhaare aana nahin
jab raat utarti hai jag mein
main chand ko git sunata hun
aur subh ko chiTTe baadalon ki
sangat mein nrit dikhata hun
ye baat to mujh se na hogi
hathon ko bandhe honT siye
baiTha rahun aur din bit chuken
mere baal hon kale se dhaule
ai 'aql ke putlo ai syano
ai pagalo murkho diwano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.