aaKHir-e-kaar tum sukuun paa hii ga.e
āḳhir-e-kār tum sukūn pā hī ga.e
mere thake-māñde be-sukūn beTe
tumhāre kushāda bāzuoñ ke liye
arz-o-kafan tang ho ga.e aur tum us meñ samā na sake
āḳhir-kār tum amaan pā ga.e
tā-hayāt ḳhatroñ se khelne vaale mere laal
qadmoñ ko qarār aa gayā vo badan kī siidh meñ aa ga.e
aur zamīn sāya-figan ho ga.ī
be-ḳhvāb rātoñ meñ tumhāre qadam
kin sarhadoñ kī tashkīl karte the
jab tum machine gan missile stretcher uThā.e phirte the
jis sarzamīn par tum fidā the
us ne hī tum se āñkheñ pher liiñ
lekin miTTī ne tumheñ gale lagā liyā
jahāñ-jahāñ aañsū Tapke
vahīñ vahīñ phuul khil uThe
aaKHir-e-kar tum sukun pa hi gae
mere thake-mande be-sukun beTe
tumhaare kushada bazuon ke liye
arz-o-kafan tang ho gae aur tum us mein sama na sake
aaKHir-kar tum aman pa gae
ta-hayat KHatron se khelne wale mere lal
qadmon ko qarar aa gaya wo badan ki sidh mein aa gae
aur zamin saya-figan ho gai
be-KHwab raaton mein tumhaare qadam
kin sarhadon ki tashkil karte the
jab tum machine gan missile stretcher uThae phirte the
jis sarzamin par tum fida the
us ne hi tum se aankhen pher lin
lekin miTTi ne tumhein gale laga liya
jahan-jahan aansu Tapke
wahin wahin phul khil uThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.