daa.ere
tiis centimeter bam kā muhīt thā
aur dā.era-e-asar qarīb qarīb saat meter
is raqbe meñ chaar lāsheñ paḌī haiñ gyārah ghāyal
is ke ird-gird
ek vasī'-tar dā.era vaqt kā aziyyat kā
jis meñ do shifā-ḳhāne aur ek qabristān
sau kilo meter duur apne vatan se aa kar
vo javāñ 'aurat yahāñ dafn ho ga.ī
dā.era aur vasī'-tar hotā gayā
us kā tanhā sogvār
kahīñ samundar paar ek goshe meñ baiThā
dā.ere ko ‘ālam-gīr banā detā hai
ab maiñ us taqsīm kī āh-o-zārī kā kaise zikr karūñ
jo ḳhudā ke pāya-e-taḳht ko chhūtī hai
is dā.ere se aage ek aur dā.era banātī hai
jis kā koī ant nahīñ
jis kā koī ḳhudā nahīñ
tis centimeter bam ka muhit tha
aur daera-e-asar qarib qarib sat meter
is raqbe mein chaar lashen paDi hain gyarah ghayal
is ke ird-gird
ek wasi'-tar daera waqt ka aziyyat ka
jis mein do shifa-KHane aur ek qabristan
sau kilo meter dur apne watan se aa kar
wo jawan 'aurat yahan dafn ho gai
daera aur wasi'-tar hota gaya
us ka tanha sogwar
kahin samundar par ek goshe mein baiTha
daere ko ‘alam-gir bana deta hai
ab main us taqsim ki aah-o-zari ka kaise zikr karun
jo KHuda ke paya-e-taKHt ko chhuti hai
is daere se aage ek aur daera banati hai
jis ka koi ant nahin
jis ka koi KHuda nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.