faujii daste abhii tak kuuch kar rahe hai.n
faujī daste abhī tak kuuch kar rahe haiñ
un kī manzil aur un ke safar meñ baḌe lambe fāsle haiñ
mauhūm kī ummīd bhī nahīñ
jaise ek tavīl be-sāya rāhguzar
istirāhat meñ
un ke dahan ke kināroñ se raal bahtī hai
aañsū rone se sivā qayāmat Dhāte haiñ
jin kā iz.hār safhoñ meñ ho nahīñ saktā
fareb-zada hoñToñ par
ham dekh sakte haiñ ummīd ke TukḌe
jaise vo luqmoñ ke daane
jo unhoñ ne āḳhirī baar jald-bāzī meñ khaa.e the
raat ke aate hī vo maidānoñ meñ darāz ho jaate haiñ
har koī apnā hī saaya oḌh letā hai
jo un kā ham-zād hai jaise jangal apne pattoñ meñ ḳhvābīda
fauji daste abhi tak kuch kar rahe hain
un ki manzil aur un ke safar mein baDe lambe fasle hain
mauhum ki ummid bhi nahin
jaise ek tawil be-saya rahguzar
istirahat mein
un ke dahan ke kinaron se ral bahti hai
aansu rone se siwa qayamat Dhate hain
jin ka izhaar safhon mein ho nahin sakta
fareb-zada honTon par
hum dekh sakte hain ummid ke TukDe
jaise wo luqmon ke dane
jo unhon ne aaKHiri bar jald-bazi mein khae the
raat ke aate hi wo maidanon mein daraaz ho jate hain
har koi apna hi saya oDh leta hai
jo un ka ham-zad hai jaise jangal apne patton mein KHwabida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.