german me.n ek yahuudii goristaan
ek chhoTī sī pahāḌī par zarḳhez khetoñ ke biich ek chhoTā goristān darāz hai
zang-ālūd gate ke pīchhe yahūdī goristān jhāḌiyoñ se chhupā huā
farāmosh-karda aur ojhal
yahāñ se koī āvāz du'ā aur na mātam kī sadā aatī hai
ḳhudā ke liye koī kalima-e-ḳhair na marhūm ke liye du'ā-e-ḳhair
sirf hamāre bachchoñ kī āvāzeñ gūñjtī haiñ
qabroñ ko khojte shādmān
har daf'a ek mil hī jaatī hai jaise jangal meñ kukur-mutā
jaise jañglī berī
yahāñ ek aur bhī qabr hai merī naanī ke naam kī qabr
pichhlī sadī kā ek naam yahāñ ek naam hai vahāñ ek naam
aur maiñ bas naam par se kaa.ī jhaaḌ hī rahā thā
dekho katbe par ek khulā ḳhat kanda hai
ek peshvā kī qabr
hathelī kī uñgliyāñ phailī huiiñ pākīza aur du'ā.eñ detī huiiñ
yahāñ ek aur qabr beriyoñ se aTī huī
use bhī uñgliyoñ se shāna karnā hogā
jaise hasīn mā'shūq kā zholīda-mū chehra
ek chhoTi si pahaDi par zarKHez kheton ke bich ek chhoTa goristan daraaz hai
zang-alud gate ke pichhe yahudi goristan jhaDiyon se chhupa hua
faramosh-karda aur ojhal
yahan se koi aawaz du'a aur na matam ki sada aati hai
KHuda ke liye koi kalima-e-KHair na marhum ke liye du'a-e-KHair
sirf hamare bachchon ki aawazen gunjti hain
qabron ko khojte shadman
har daf'a ek mil hi jati hai jaise jangal mein kukur-muta
jaise jangli beri
yahan ek aur bhi qabr hai meri nani ke nam ki qabr
pichhli sadi ka ek nam yahan ek nam hai wahan ek nam
aur main bas nam par se kai jhaD hi raha tha
dekho katbe par ek khula KHat kanda hai
ek peshwa ki qabr
hatheli ki ungliyan phaili huin pakiza aur du'aen deti huin
yahan ek aur qabr beriyon se aTi hui
use bhi ungliyon se shana karna hoga
jaise hasin ma'shuq ka zholida-mu chehra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.