hame.n itnaa jazbaatii nahii.n honaa hai
hameñ itnā jazbātī nahīñ honā hai
mutarjim jazbāt se mamlū nahīñ ho jaatā
chup-chāp apne alfāz hameñ ek nasl se dūsrī nasl muntaqil karnā hai
nā-dānista ek zabān se dūsroñ ke laboñ tak
jaise baap muntaqil kartā hai apne marhūm jad ke ḳhadd-o-ḳhāl
apne beTe ko vo sirf ek vasīla hotā hai
vo ḳhud un sā nahīñ hotā
hameñ vo sab yaad rakhnā hogā jo kabhī hamāre hāthoñ meñ thā
jo hamāre haath se phisal gayā
kyā kyā hamāre iḳhtiyār meñ thā aur kyā kyā hamāre iḳhtiyār se nikal gayā
hameñ itnā jazbātī nahīñ honā hai
pukārne vaale aur jinheñ pukārā gayā vo sab ġharq hue
yā vaqt-e-hijr merā mahbūb chand alfāz de gayā
ki maiñ use yaad rakhūñ
hameñ jo kahā gayā vo dūsre kahne vāloñ ko na kahnā hogā
ḳhāmoshī iḳhtiyār kareñ
hameñ jazbātī nahīñ honā hai
hamein itna jazbaati nahin hona hai
mutarjim jazbaat se mamlu nahin ho jata
chup-chap apne alfaz hamein ek nasl se dusri nasl muntaqil karna hai
na-danista ek zaban se dusron ke labon tak
jaise bap muntaqil karta hai apne marhum jad ke KHadd-o-KHal
apne beTe ko wo sirf ek wasila hota hai
wo KHud un sa nahin hota
hamein wo sab yaad rakhna hoga jo kabhi hamare hathon mein tha
jo hamare hath se phisal gaya
kya kya hamare iKHtiyar mein tha aur kya kya hamare iKHtiyar se nikal gaya
hamein itna jazbaati nahin hona hai
pukarne wale aur jinhen pukara gaya wo sab gharq hue
ya waqt-e-hijr mera mahbub chand alfaz de gaya
ki main use yaad rakhun
hamein jo kaha gaya wo dusre kahne walon ko na kahna hoga
KHamoshi iKHtiyar karen
hamein jazbaati nahin hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.