yahii.n 'ishq ham ne kiyaa
merā baap un chaar jangoñ meñ shāmil rahā
lekin vo dushman se pyaar kar sakā aur na hī nafrat
mujhe mā'lūm hai vo vahāñ pahle se maujūd thā
us kā pur-sukūn andāz mujhe har din tashkīl kartā rahā
vo itne kam the
vo unheñ daboch saktā thā
bam aur dhueñ ke darmiyāñ
unheñ phaTe purāne thaile meñ Daal saktā thā
un bāqiyāt ke saath
jis meñ maañ kī sūkhī roTiyāñ thiiñ
be-nām lāshoñ ko us ne apnī āñkhoñ meñ jam' kiyā
kitne hī murde mere liye ikaTThā kiye
ki maiñ un se pyaar karūñ
un kī nazar se pahchānā jā.ūñ
aur un kī tarah ḳhauf liye na marūñ
apnī āñkhoñ meñ us ne un sabhī ko samo liyā
us ne ġhalatī kī
mujhe apnī saarī jangoñ meñ ḳhud hī jaanā hogā
mera bap un chaar jangon mein shamil raha
lekin wo dushman se pyar kar saka aur na hi nafrat
mujhe ma'lum hai wo wahan pahle se maujud tha
us ka pur-sukun andaz mujhe har din tashkil karta raha
wo itne kam the
wo unhen daboch sakta tha
bam aur dhuen ke darmiyan
unhen phaTe purane thaile mein Dal sakta tha
un baqiyat ke sath
jis mein man ki sukhi roTiyan thin
be-nam lashon ko us ne apni aankhon mein jam' kiya
kitne hi murde mere liye ikaTTha kiye
ki main un se pyar karun
un ki nazar se pahchana jaun
aur un ki tarah KHauf liye na marun
apni aankhon mein us ne un sabhi ko samo liya
us ne ghalati ki
mujhe apni sari jangon mein KHud hi jaana hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.