dil ki us kaa hariim-e-ulfat hai
dil ki us kā harīm-e-ulfat hai
aañkh meñ us kā 'aks-e-tal'at hai
kyā jhuke do jahān ke aage
sar to us kā rahīn-e-minnat hai
tū hai tuubā hai maiñ huuñ aur qad-e-yār
soch sab kī ba-qadr-e-himmat hai
har gul-e-nau meñ rang-o-bū hai vahī
asar-andāz us kī sohbat hai
thā kabhī qais ab hai daur mirā
sab kī do-chār din hukūmat hai
ġham nahīñ jān-o-dil fidā jo hue
ḳhush huuñ is par ki vo salāmat hai
jā na 'hāfiz' ke faqr-e-zāhir par
dil meñ mahbūb kī mohabbat hai
dil ki us ka harim-e-ulfat hai
aankh mein us ka 'aks-e-tal'at hai
kya jhuke do jahan ke aage
sar to us ka rahin-e-minnat hai
tu hai tuba hai main hun aur qad-e-yar
soch sab ki ba-qadr-e-himmat hai
har gul-e-nau mein rang-o-bu hai wahi
asar-andaz us ki sohbat hai
tha kabhi qais ab hai daur mera
sab ki do-chaar din hukumat hai
gham nahin jaan-o-dil fida jo hue
KHush hun is par ki wo salamat hai
ja na 'hafiz' ke faqr-e-zahir par
dil mein mahbub ki mohabbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.